ik patti ke | इक पत्ती के

  - Aadil Raza Mansoori

ik patti ke
tootne girne ki awaaz se
sihar utha hai
sahemta
ped

be-taalluq shaakh par baithi hai
chidiya
naak ke neeche pada hai
ghonsla bikhra hua
jis ke girne aur bikharna ki
sada se
be-khabar hai
ped

muddaton se
vo hamaari hi tarah hain
saath saath

इक पत्ती के
टूटने गिरने की आवाज़ से
सिहर उठा है
सहेमता
पेड़

बे-तअल्लुक़ शाख़ पर बैठी है
चिड़िया
नाक के नीचे पड़ा है
घोंसला बिखरा हुआ
जिस के गिरने और बिखरने की
सदा से
बे-ख़बर है
पेड़

मुद्दतों से
वो हमारी ही तरह हैं
साथ साथ

  - Aadil Raza Mansoori

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aadil Raza Mansoori

As you were reading Shayari by Aadil Raza Mansoori

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Raza Mansoori

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari