palat kar dekh bhar sakti hain | पलट कर देख भर सकती हैं - Aadil Raza Mansoori

palat kar dekh bhar sakti hain
bhed'en
bolna chahein bhi to bolengi kaise
ho chuki hain salb aawaazen kabhi ki
lautna mumkin nahin hai
sirf chalna aur chalte rahna hai
khwaabon ke ghaar ki jaanib
jis ka rasta
sunhare bheriyon ke daanton se ho kar guzarta hai

पलट कर देख भर सकती हैं
भेड़ें
बोलना चाहें भी तो बोलेंगी कैसे
हो चुकी हैं सल्ब आवाज़ें कभी की
लौटना मुमकिन नहीं है
सिर्फ़ चलना और चलते रहना है
ख़्वाबों के ग़ार की जानिब
जिस का रस्ता
सुनहरे भेड़ियों के दाँतों से हो कर गुज़रता है

- Aadil Raza Mansoori
0 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aadil Raza Mansoori

As you were reading Shayari by Aadil Raza Mansoori

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Raza Mansoori

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari