har baar hua hai jo wahi to nahin hoga
dar jis ka sataata hai abhi to nahin hoga
duniya ko chalo parkein naye dost banaayein
har shakhs zamaane mein wahi to nahin hoga
vo shakhs bada hai to galat ho nahin saka
duniya ko bharosa ye abhi to nahin hoga
hai us ka ishaara bhi samajhne ki zaroorat
hoga to kabhi hoga abhi to nahin hoga
do-chaar gadde murde ukhaadenge kisi roz
har baar naya jhagda kabhi to nahin hoga
kuchh aur bhi ho saka hai taqreer ka matlab
jo aap ne samjha hai wahi to nahin hoga
har baar zamaane ka sitam hoga mujhi par
haan main hi badal jaaun kabhi to nahin hoga
हर बार हुआ है जो वही तो नहीं होगा
डर जिस का सताता है अभी तो नहीं होगा
दुनिया को चलो परखें नए दोस्त बनाएँ
हर शख़्स ज़माने में वही तो नहीं होगा
वो शख़्स बड़ा है तो ग़लत हो नहीं सकता
दुनिया को भरोसा ये अभी तो नहीं होगा
है उस का इशारा भी समझने की ज़रूरत
होगा तो कभी होगा अभी तो नहीं होगा
दो-चार गड़े मुर्दे उखाड़ेंगे किसी रोज़
हर बार नया झगड़ा कभी तो नहीं होगा
कुछ और भी हो सकता है तक़रीर का मतलब
जो आप ने समझा है वही तो नहीं होगा
हर बार ज़माने का सितम होगा मुझी पर
हाँ मैं ही बदल जाऊँ कभी तो नहीं होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav
our suggestion based on Aalok Shrivastav
As you were reading Violence Shayari Shayari