teri aagosh mein sar rakha sisak kar roye | तेरी आगोश में सर रखा सिसक कर रोए - Abbas Qamar

teri aagosh mein sar rakha sisak kar roye
mere sapne meri aankhon se chhalk kar roye

saari khushiyon ko sare aam jhatak kar roye
hum bhi bacchon ki tarah paanv patak kar roye

raasta saaf tha manzil bhi bahut door na thi
beech raaste mein magar paanv atak kar roye

jis ghadi qatl hawaon ne charaagon ka kiya
mere hamraah jo jugnoo the faphak kar roye

qeemati zid thi garibi bhi bhala kya karti
maa ke jazbaat dulaaron ko thapak kar roye

apne haalaat bayaan karke jo roee dharti
chaand taare kisi kone mein dubak kar roye

baamshakkat bhi mukammal na hui apni ghazal
chand nukte mere kaaghaz se sarak kar roye

तेरी आगोश में सर रखा सिसक कर रोए
मेरे सपने मेरी आँखों से छलक कर रोए

सारी खुशियों को सरे आम झटक कर रोये
हम भी बच्चों की तरह पाँव पटक कर रोए

रास्ता साफ़ था मंज़िल भी बहुत दूर न थी
बीच रस्ते में मगर पाँव अटक कर रोए

जिस घड़ी क़त्ल हवाओं ने चराग़ों का किया
मेरे हमराह जो जुगनू थे फफक कर रोए

क़ीमती ज़िद थी, गरीबी भी भला क्या करती
माँ के जज़बात दुलारों को थपक कर रोए

अपने हालात बयां करके जो रोई धरती
चाँद तारे किसी कोने में दुबक कर रोए

बामशक्कत भी मुकम्मल न हुई अपनी ग़ज़ल
चंद नुक्ते मेरे काग़ज़ से सरक कर रोए

- Abbas Qamar
12 Likes

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abbas Qamar

As you were reading Shayari by Abbas Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Abbas Qamar

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari