uski peshaani pe jo bal aaye
do-jahan mein uthal-puthal aaye
khwaab ka bojh itna bhari tha
neend palkon pe ham kuchal aaye
is qadar jazb ho gaye dono
dard khenchoon to dil nikal aaye
rooh ka nangaapan chhipaane ko
jism kapde badal badal aaye
jispe har cheez taal rakhi hai
jaane kis roz mera kal aaye
gulmohar ki talash thi mujhko
mere hisse magar kanwal aaye
उसकी पेशानी पे जो बल आए
दो-जहाँ में उथल-पुथल आए
ख़्वाब का बोझ इतना भारी था
नींद पलकों पे हम कुचल आए
इस क़दर जज़्ब हो गए दोनों
दर्द खेंचूँ तो दिल निकल आए
रूह का नंगापन छिपाने को
जिस्म कपड़े बदल बदल आए
जिस पे हर चीज़ टाल रक्खी है
जाने किस रोज़ मेरा कल आए
गुलमोहर की तलाश थी मुझको
मेरे हिस्से मगर कंवल आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abbas Qamar
our suggestion based on Abbas Qamar
As you were reading Raqs Shayari Shayari