koi takra ke subuk-sar bhi to ho saka hai | कोई टकरा के सुबुक-सर भी तो हो सकता है

  - Abbas Tabish

koi takra ke subuk-sar bhi to ho saka hai
meri ta'aamir mein patthar bhi to ho saka hai

kyun na ai shakhs tujhe haath laga kar dekhoon
tu mere vaham se badh kar bhi to ho saka hai

tu hi tu hai to phir ab jumla jamaal-e-duniya
tera shak aur kisi par bhi to ho saka hai

ye jo hai phool hatheli pe ise phool na jaan
mera dil jism se baahar bhi to ho saka hai

shaakh par baithe parinde ko udaane waale
ped ke haath mein patthar bhi to ho saka hai

kya zaroori hai ki baahar hi numoo ho meri
mera khilna mere andar bhi to ho saka hai

ye jo hai ret ka teela mere qadmon ke tale
koi dam mein mere oopar bhi to ho saka hai

kya zaroori hai ki ham haar ke jeeten taabish
ishq ka khel barabar bhi to ho saka hai

कोई टकरा के सुबुक-सर भी तो हो सकता है
मेरी ता'मीर में पत्थर भी तो हो सकता है

क्यूँ न ऐ शख़्स तुझे हाथ लगा कर देखूँ
तू मिरे वहम से बढ़ कर भी तो हो सकता है

तू ही तू है तो फिर अब जुमला जमाल-ए-दुनिया
तेरा शक और किसी पर भी तो हो सकता है

ये जो है फूल हथेली पे इसे फूल न जान
मेरा दिल जिस्म से बाहर भी तो हो सकता है

शाख़ पर बैठे परिंदे को उड़ाने वाले
पेड़ के हाथ में पत्थर भी तो हो सकता है

क्या ज़रूरी है कि बाहर ही नुमू हो मेरी
मेरा खिलना मिरे अंदर भी तो हो सकता है

ये जो है रेत का टीला मिरे क़दमों के तले
कोई दम में मिरे ऊपर भी तो हो सकता है

क्या ज़रूरी है कि हम हार के जीतें 'ताबिश'
इश्क़ का खेल बराबर भी तो हो सकता है

  - Abbas Tabish

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abbas Tabish

As you were reading Shayari by Abbas Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Abbas Tabish

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari