agar hamaara khayal hota | अगर हमारा ख़याल होता - Prashant Kumar

agar hamaara khayal hota
jahaan mein phir bawaal hota

mushaayre mein gaya nahin kyun
mere sukhun se bawaal hota

tumhein hamaari nahin zaroorat
chalo wagarana kamaal hota

parhe likhe ho parhe likhe hain
na haath mein phir kapal hota

panaah mein tum meri jo rahte
to khoobsurat jamaal hota

agar main aata nahin jahaan mein
behisht mein phir bawaal hota

अगर हमारा ख़याल होता
जहान में फिर बवाल होता

मुशायरे में गया नहीं क्यूँ
मिरे सुख़न से बवाल होता

तुम्हें हमारी नहीं ज़रूरत
चलो वगरना कमाल होता

पढ़े लिखे हो पढ़े लिखे हैं
न हाथ में फिर कपाल होता

पनाह में तुम मिरी जो रहते
तो ख़ूबसूरत जमाल होता

अगर मैं आता नहीं जहाँ में
बहिश्त में फिर बवाल होता

- Prashant Kumar
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari