main tiri jaan hoon saanson mein basaa le sajni
tiri angadaai kahin maar na dale sajni
gaur se dekh mujhe misl-e-hina hoon main bhi
zulf se paanv talak sab mein laga le sajni
are chakkar mein na pad chhod ye gadde makhmal
tu sulaana hai to baahon mein sula le sajni
main akela mein to kuchh bol nahin paaoonga
tu bulaana hai to mehfil mein bula le sajni
phir hamesha ke liye yaa se chala jaaunga
bas mujhe ek dafa apna bana le sajni
मैं तिरी जान हूँ साँसों में बसा ले सजनी
तिरी अँगड़ाई कहीं मार न डाले सजनी
ग़ौर से देख मुझे मिस्ल-ए-हिना हूँ मैं भी
ज़ुल्फ़ से पाँव तलक सब में लगा ले सजनी
अरे चक्कर में न पड़ छोड़ ये गद्दे मख़मल
तू सुलाना है तो बाहों में सुला ले सजनी
मैं अकेले में तो कुछ बोल नहीं पाऊँगा
तू बुलाना है तो महफ़िल में बुला ले सजनी
फिर हमेशा के लिए याँ से चला जाऊँगा
बस मुझे एक दफ़ा अपना बना ले सजनी
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari