main is qadar phansa hoon tijaarat ke jaal mein
aafat mein jaan hai meri duniya bawaal mein
ham saadgi ko chhod maren husn par to kyun
jab husn dhal hi jaana hai das bees saal mein
soorat pe shaairon kii ayaan ho saken vo aib
gardish mein bhi nahin hain na tere jamaal mein
kaise rasheed gair ke zimme karein tujhe
muddat lagi hai hamko teri dekhbhaal mein
baithe hain pur-sukoon siyaasat ke log ab
janta jo aa gai hai siyaasat kii chaal mein
lehje mein unke ab bhi saleeqa na aa saka
milkar ke lad rahe the jo aapatkaal mein
jis haadse ka dar tha wahi haadsa hua
aa hi gaye charaagh andheron kii chaal mein
tu maan ya na maan meri jaan-e-jaan magar
ab farq aa gaya hai teri bol chaal mein
मैं इस क़दर फँसा हूँ तिजारत के जाल में
आफ़त में जान है मेरी दुनिया बवाल में
हम सादगी को छोड़ मरें हुस्न पर तो क्यूँ
जब हुस्न ढल ही जाना है दस बीस साल में
सूरत पे शाइरों की अयाँ हो सकें वो ऐब
गर्दिश में भी नहीं हैं न तेरे जमाल में
कैसे रशीद ग़ैर के ज़िम्मे करें तुझे
मुद्दत लगी है हमको तेरी देखभाल में
बैठे हैं पुर-सुकून सियासत के लोग अब
जनता जो आ गई है सियासत की चाल में
लहजे में उनके अब भी सलीक़ा न आ सका
मिलकर के लड़ रहे थे जो आपातकाल में
जिस हादसे का डर था वही हादसा हुआ
आ ही गए चराग़ अँधेरों की चाल में
तू मान या न मान मेरी जान-ए-जाँ मगर
अब फ़र्क़ आ गया है तेरी बोल चाल में
As you were reading Shayari by Adesh Rathore
our suggestion based on Adesh Rathore
As you were reading undefined Shayari