ye jo suraj hai ye suraj bhi kahaan tha pehle | ये जो सूरज है ये सूरज भी कहाँ था पहले - Afzal Gauhar Rao

ye jo suraj hai ye suraj bhi kahaan tha pehle
barf se uthata hua ek dhuaan tha pehle

mujh se aabaad hui hai tiri duniya warna
is kharaabe mein koi aur kahaan tha pehle

ek hi daayere mein qaid hain hum log yahan
ab jahaan tum ho koi aur wahan tha pehle

us ko hum jaise kai mil gaye majnoon warna
ishq logon ke liye kaar-e-ziyaan tha pehle

ye jo ab ret nazar aata hai afzal gauhar
isee dariya mein kabhi aab-e-ravaan tha pehle

ये जो सूरज है ये सूरज भी कहाँ था पहले
बर्फ़ से उठता हुआ एक धुआँ था पहले

मुझ से आबाद हुई है तिरी दुनिया वर्ना
इस ख़राबे में कोई और कहाँ था पहले

एक ही दाएरे में क़ैद हैं हम लोग यहाँ
अब जहाँ तुम हो कोई और वहाँ था पहले

उस को हम जैसे कई मिल गए मजनूँ वर्ना
इश्क़ लोगों के लिए कार-ए-ज़ियाँ था पहले

ये जो अब रेत नज़र आता है अफ़ज़ल 'गौहर'
इसी दरिया में कभी आब-ए-रवाँ था पहले

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari