aayi thi us taraf jo hawa kaun le gaya | आई थी उस तरफ़ जो हवा कौन ले गया - Afzal Gauhar Rao

aayi thi us taraf jo hawa kaun le gaya
khaali pada hai taq diya kaun le gaya

is shehar mein to koi sulemaan bhi nahin
main kya bataaun takht-e-saba kaun le gaya

dushman aqab mein aa bhi gaya aur abhi talak
tum ko khabar nahin hai asa kaun le gaya

apne badan se lipta hua aadmi tha main
mujh se chhuda ke mujh ko bata kaun le gaya

gauhar ye maajra to parindon se poochna
pedon ko kya pata hai hawa kaun le gaya

आई थी उस तरफ़ जो हवा कौन ले गया
ख़ाली पड़ा है ताक़ दिया कौन ले गया

इस शहर में तो कोई सुलैमान भी नहीं
मैं क्या बताऊँ तख़्त-ए-सबा कौन ले गया

दुश्मन अक़ब में आ भी गया और अभी तलक
तुम को ख़बर नहीं है असा कौन ले गया

अपने बदन से लिपटा हुआ आदमी था मैं
मुझ से छुड़ा के मुझ को बता कौन ले गया

'गौहर' ये माजरा तो परिंदों से पूछना
पेड़ों को क्या पता है हवा कौन ले गया

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari