main apni zaat mein jab se sitaara hone laga | मैं अपनी ज़ात में जब से सितारा होने लगा - Afzal Gauhar Rao

main apni zaat mein jab se sitaara hone laga
phir ik charaagh se mera guzaara hone laga

meri chamak ke nazaare ko chahiye kuch aur
main aaine pe kahaan aashkaara hone laga

ye kaisi barf se us ne bhigo diya hai mujhe
pahaad jaisa mera jism gaara hone laga

zameen se main ne abhi ediyaan uthaai theen
ki aasmaan ka mujh ko nazaara hone laga

ajeeb soor-e-sarafiel us ne phoonk diya
pahaad apni jagah paara paara hone laga

main ek ishq mein naakaam kya hua gauhar
har ek kaam mein mujh ko khasaara hone laga

मैं अपनी ज़ात में जब से सितारा होने लगा
फिर इक चराग़ से मेरा गुज़ारा होने लगा

मिरी चमक के नज़ारे को चाहिए कुछ और
मैं आइने पे कहाँ आश्कारा होने लगा

ये कैसी बर्फ़ से उस ने भिगो दिया है मुझे
पहाड़ जैसा मिरा जिस्म गारा होने लगा

ज़मीं से मैं ने अभी एड़ियाँ उठाई थीं
कि आसमान का मुझ को नज़ारा होने लगा

अजीब सूर-ए-सराफ़ील उस ने फूँक दिया
पहाड़ अपनी जगह पारा पारा होने लगा

मैं एक इश्क़ में नाकाम क्या हुआ 'गौहर'
हर एक काम में मुझ को ख़सारा होने लगा

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari