main khud ko is liye manzar pe laane waala nahin | मैं ख़ुद को इस लिए मंज़र पे लाने वाला नहीं - Afzal Gauhar Rao

main khud ko is liye manzar pe laane waala nahin
ki aaina meri soorat dikhaane waala nahin

tire falak ka agar chaand bujh gaya hai to kya
diya zameen pe bhi koi jalane waala nahin

samundron ki taraf ja raha hoon jalta hua
ki meri aag ko baadal bujhaane waala nahin

ye kaun neend mein aakar sirhaane baith gaya
main apna khwaab kisi ko bataane waala nahin

ab is qadar bhi takalluf se mil rahe ho kyun
tumhaare saath to rishta zamaane waala nahin

kamar kamaan hui ja rahi yun gauhar
main jaise khud ko dobara uthaane waala nahin

मैं ख़ुद को इस लिए मंज़र पे लाने वाला नहीं
कि आइना मिरी सूरत दिखाने वाला नहीं

तिरे फ़लक का अगर चाँद बुझ गया है तो क्या
दिया ज़मीं पे भी कोई जलाने वाला नहीं

समुंदरों की तरफ़ जा रहा हूँ जलता हुआ
कि मेरी आग को बादल बुझाने वाला नहीं

ये कौन नींद में आकर सिरहाने बैठ गया
मैं अपना ख़्वाब किसी को बताने वाला नहीं

अब इस क़दर भी तकल्लुफ़ से मिल रहे हो क्यूँ
तुम्हारे साथ तो रिश्ता ज़माने वाला नहीं

कमर कमान हुई जा रही यूँ 'गौहर'
मैं जैसे ख़ुद को दोबारा उठाने वाला नहीं

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari