shikast kha ke bhi kab hausale hain kam mere | शिकस्त खा के भी कब हौसले हैं कम मेरे - Afzal Gauhar Rao

shikast kha ke bhi kab hausale hain kam mere
mere kate hue haathon mein hain alam mere

panaah-gaah mujhe bhi to saur jaisi de
meri talash mein dushman hain taaza-dam mere

tujhe main kaise bataaun kahaan se kaisa hoon
uljh rahe hain b-dastoor pech-o-kham mere

kis aasmaan ki wus'at talash karte hue
zameen se door nikal aaye hain qadam mere

tu ye sawaal bhi ab dajla o furaat se pooch
main kya bataaun kahaan loot gaye haram mere

jamee rahi hai chataanon pe barf sadiyon tak
to ja ke phir kahi patthar hue hain nam mere

शिकस्त खा के भी कब हौसले हैं कम मेरे
मिरे कटे हुए हाथों में हैं अलम मेरे

पनाह-गाह मुझे भी तो सौर जैसी दे
मिरी तलाश में दुश्मन हैं ताज़ा-दम मेरे

तुझे मैं कैसे बताऊँ कहाँ से कैसा हूँ
उलझ रहे हैं ब-दस्तूर पेच-ओ-ख़म मेरे

किस आसमान की वुसअत तलाश करते हुए
ज़मीं से दूर निकल आए हैं क़दम मेरे

तू ये सवाल भी अब दजला ओ फ़ुरात से पूछ
मैं क्या बताऊँ कहाँ लुट गए हरम मेरे

जमी रही है चटानों पे बर्फ़ सदियों तक
तो जा के फिर कहीं पत्थर हुए हैं नम मेरे

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari