neend aayi na khula raat ka bistar mujh se | नींद आई न खुला रात का बिस्तर मुझ से - Afzal Gauhar Rao

neend aayi na khula raat ka bistar mujh se
guftugoo karta raha chaand barabar mujh se

apna saaya use khairaat mein de aaya hoon
dhoop ke dar se jo lipta raha din bhar mujh se

kaun si aisi kami mere khud-o-khaal mein hai
aaina khush nahin hota kabhi mil kar mujh se

kya museebat hai ki har din ki mashqat ke evaz
baandh jaata hai koi raat ka patthar mujh se

dasht ki samt nikal aaya hai mera dariya
bas isee par hain khafa saare samundar mujh se

apne haathon ko jo kashkol banaya gauhar
gir pada jaane kahaan mera muqaddar mujh se

नींद आई न खुला रात का बिस्तर मुझ से
गुफ़्तुगू करता रहा चाँद बराबर मुझ से

अपना साया उसे ख़ैरात में दे आया हूँ
धूप के डर से जो लिपटा रहा दिन भर मुझ से

कौन सी ऐसी कमी मेरे ख़द-ओ-ख़ाल में है
आइना ख़ुश नहीं होता कभी मिल कर मुझ से

क्या मुसीबत है कि हर दिन की मशक़्क़त के एवज़
बाँध जाता है कोई रात का पत्थर मुझ से

दश्त की सम्त निकल आया है मेरा दरिया
बस इसी पर हैं ख़फ़ा सारे समुंदर मुझ से

अपने हाथों को जो कश्कोल बनाया 'गौहर'
गिर पड़ा जाने कहाँ मेरा मुक़द्दर मुझ से

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari