hijr mein itna khasaara to nahin ho saka | हिज्र में इतना ख़सारा तो नहीं हो सकता - Afzal Gauhar Rao

hijr mein itna khasaara to nahin ho saka
ek hi ishq dobara to nahin ho saka

chand logon ki mohabbat bhi ghaneemat hai miyaan
shehar ka shehar hamaara to nahin ho saka

kab talak qaid rakhoon aankh mein beenaai ko
sirf khwaabon se guzaara to nahin ho saka

raat ko jhel ke baitha hoon to din nikla hai
ab main suraj se sitaara to nahin ho saka

dil ki beenaai ko bhi saath mila le gauhar
aankh se saara nazaara to nahin ho saka

हिज्र में इतना ख़सारा तो नहीं हो सकता
एक ही इश्क़ दोबारा तो नहीं हो सकता

चंद लोगों की मोहब्बत भी ग़नीमत है मियाँ
शहर का शहर हमारा तो नहीं हो सकता

कब तलक क़ैद रखूँ आँख में बीनाई को
सिर्फ़ ख़्वाबों से गुज़ारा तो नहीं हो सकता

रात को झेल के बैठा हूँ तो दिन निकला है
अब मैं सूरज से सितारा तो नहीं हो सकता

दिल की बीनाई को भी साथ मिला ले 'गौहर'
आँख से सारा नज़ारा तो नहीं हो सकता

- Afzal Gauhar Rao
1 Like

Sazaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Sazaa Shayari Shayari