misaal-e-barg kisi shaakh se jhade hue hain | मिसाल-ए-बर्ग किसी शाख़ से झड़े हुए हैं - Afzal Gauhar Rao

misaal-e-barg kisi shaakh se jhade hue hain
isee liye to tire paanv mein pade hue hain

zameen ne ooncha uthaya hua hai warna dost
hawa mein ghaas ke tinke kahaan pade hue hain

kisi ne meri zameen chaan kar nahin dekhi
vagarna kitne sitaare yahan pade hue hain

yahan saroon pe yoonhi barf aa padi warna
bade bhi umr se apni kahaan bade hue hain

kisi ke hukm se aisa jumood taari hai
zameen ravana hui aur hum khade hue hain

मिसाल-ए-बर्ग किसी शाख़ से झड़े हुए हैं
इसी लिए तो तिरे पाँव में पड़े हुए हैं

ज़मीं ने ऊँचा उठाया हुआ है वर्ना दोस्त
हवा में घास के तिनके कहाँ पड़े हुए हैं

किसी ने मेरी ज़मीं छान कर नहीं देखी
वगर्ना कितने सितारे यहाँ पड़े हुए हैं

यहाँ सरों पे यूँही बर्फ़ आ पड़ी वर्ना
बड़े भी उम्र से अपनी कहाँ बड़े हुए हैं

किसी के हुक्म से ऐसा जुमूद तारी है
ज़मीं रवाना हुई और हम खड़े हुए हैं

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari