isee liye bhi naye safar se bandhe hue hain | इसी लिए भी नए सफ़र से बंधे हुए हैं - Afzal Gauhar Rao

isee liye bhi naye safar se bandhe hue hain
ki hum parinde to baal-o-par se bandhe hue hain

tumhein hi sehra sambhaalne ki padi hui hai
nikal ke ghar se bhi hum to ghar se bandhe hue hain

kisi ne din mein tamaam chaanv utaar li hai
ye berg o gul to yoonhi shajar se bandhe hue hain

yahan bhala kaun apni marzi se jee raha hai
sabhi ishaare tiri nazar se bandhe hue hain

sagan-e-koocha-e-dilbaraan ki misaal hum to
rihaa bhi ho kar kisi ke dar se bandhe hue hain

zameen khud hum ko kheenchti phir rahi hai gauhar
ajeeb aalam mein raahguzaar se bandhe hue hain

इसी लिए भी नए सफ़र से बंधे हुए हैं
कि हम परिंदे तो बाल-ओ-पर से बंधे हुए हैं

तुम्हें ही सहरा सँभालने की पड़ी हुई है
निकल के घर से भी हम तो घर से बंधे हुए हैं

किसी ने दिन में तमाम छाँव उतार ली है
ये बर्ग ओ गुल तो यूँही शजर से बंधे हुए हैं

यहाँ भला कौन अपनी मर्ज़ी से जी रहा है
सभी इशारे तिरी नज़र से बंधे हुए हैं

सगान-ए-कूचा-ए-दिलबराँ की मिसाल हम तो
रिहा भी हो कर किसी के दर से बंधे हुए हैं

ज़मीन ख़ुद हम को खींचती फिर रही है 'गौहर'
अजीब आलम में रहगुज़र से बंधे हुए हैं

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari