har aaine mein tira hi dhuaan dikhaai diya | हर आइने में तिरा ही धुआँ दिखाई दिया - Afzal Gauhar Rao

har aaine mein tira hi dhuaan dikhaai diya
mera vujood hi mujh ko kahaan dikhaai diya

ye kaisi dhoop ke mausam mein ghar se nikla hoon
ki har parinda mujhe saaebaan dikhaai diya

main apni lehar mein lipta hua samundar hoon
main kya karoon jo tira baadbaan dikhaai diya

kaha hi tha ki salaam ai imam-e-aali-maqaam
hamaari pyaas ko aab-e-ravaan dikhaai diya

meri nazar to khalaon ne baandh rakhi thi
mujhe zameen se kahaan aasmaan dikhaai diya

हर आइने में तिरा ही धुआँ दिखाई दिया
मिरा वजूद ही मुझ को कहाँ दिखाई दिया

ये कैसी धूप के मौसम में घर से निकला हूँ
कि हर परिंदा मुझे साएबाँ दिखाई दिया

मैं अपनी लहर में लिपटा हुआ समुंदर हूँ
मैं क्या करूँ जो तिरा बादबाँ दिखाई दिया

कहा ही था कि सलाम ऐ इमाम-ए-आली-मक़ाम
हमारी प्यास को आब-ए-रवाँ दिखाई दिया

मिरी नज़र तो ख़लाओं ने बाँध रक्खी थी
मुझे ज़मीं से कहाँ आसमाँ दिखाई दिया

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari