der tak koi kisi se bad-gumaan rehta nahin | देर तक कोई किसी से बद-गुमाँ रहता नहीं - Afzal Gauhar Rao

der tak koi kisi se bad-gumaan rehta nahin
vo wahan aata to hoga main jahaan rehta nahin

ek main hoon dhoop mein kitna safar tay kar liya
ek tu hai jo kabhi be-saaebaan rehta nahin

tum ko kyun pedon pe likkhe naam mitne ka hai dukh
is badalti rut mein patthar par nishaan rehta nahin

vo bana leta hai apna ghonsla deewaar mein
jis parinde ka shajar mein aashiyaan rehta nahin

tu parindon ki tarah udne ki khwaahish chhod de
be-zameen logon ke sar par aasmaan rehta nahin

देर तक कोई किसी से बद-गुमाँ रहता नहीं
वो वहाँ आता तो होगा मैं जहाँ रहता नहीं

एक मैं हूँ धूप में कितना सफ़र तय कर लिया
एक तू है जो कभी बे-साएबाँ रहता नहीं

तुम को क्यूँ पेड़ों पे लिक्खे नाम मिटने का है दुख
इस बदलती रुत में पत्थर पर निशाँ रहता नहीं

वो बना लेता है अपना घोंसला दीवार में
जिस परिंदे का शजर में आशियाँ रहता नहीं

तू परिंदों की तरह उड़ने की ख़्वाहिश छोड़ दे
बे-ज़मीं लोगों के सर पर आसमाँ रहता नहीं

- Afzal Gauhar Rao
0 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gauhar Rao

As you were reading Shayari by Afzal Gauhar Rao

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gauhar Rao

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari