aane lagi jab relgaadi khadkhadaai patriyaan
main der se samjha mohabbat le rahi thi siskiyaan
andaaz umda husn zalim qaabil-e-taarif tha
theen phool par baithi hui jaise nayi kuchh titliyan
kya hi bataaun main tumhein kis baat se naaraz thi
main ek din chhat par gaya to band kar deen khidkiyaan
har zakhm dil ka cheekhkar deta raha bas bad-dua
ye zindagi bhi kah rahi thi aakhiri hain hichakiyaan
jab ye iraada kar liya jaana nahin ab laut kar
phir sahilon par jo bhi theen hamne jala deen kashtiyaan
muddat hui aaye unhen ham raah takte thak gaye
kis kaam mein masroof hain milti nahin kya chuttiyaan
hain chaar bete yun to mere saath mein koii nahin
karti munavvar ghar hamaara ye faqat do betiyaan
आने लगी जब रेलगाड़ी खड़खड़ाईं पटरियाँ
मैं देर से समझा मोहब्बत ले रही थी सिसकियाँ
अंदाज़ उम्दा हुस्न ज़ालिम क़ाबिल-ए-तारीफ़ था
थीं फूल पर बैठी हुई जैसे नई कुछ तितलियाँ
क्या ही बताऊँ मैं तुम्हें किस बात से नाराज़ थी
मैं एक दिन छत पर गया तो बंद कर दीं खिड़कियाँ
हर ज़ख़्म दिल का चीख़कर देता रहा बस बद-दुआ
ये ज़िंदगी भी कह रही थी आख़िरी हैं हिचकियाँ
जब ये इरादा कर लिया जाना नहीं अब लौट कर
फिर साहिलों पर जो भी थीं हमने जला दीं कश्तियाँ
मुद्दत हुई आए उन्हें हम राह तकते थक गए
किस काम में मसरूफ़ हैं मिलती नहीं क्या छुट्टियाँ
हैं चार बेटे यूँ तो मेरे साथ में कोई नहीं
करतीं मुनव्वर घर हमारा ये फ़क़त दो बेटियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Sultanpuri
our suggestion based on Afzal Sultanpuri
As you were reading Aawargi Shayari Shayari