gar ek shab bhi vasl ki lazzat na paaye dil | गर एक शब भी वस्ल की लज़्ज़त न पाए दिल - Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi

gar ek shab bhi vasl ki lazzat na paaye dil
phir kis umeed par koi tum se lagaaye dil

ik dil tujhe mudaam sataane ko chahiye
tere liye kahaan se koi roz laaye dil

utara na aa ke yaa koi juz kaarwaan-e-gham
mehmaan-saraa se kam nahin yaaro saraa-e-dil

kooche se apne hum ko uthaata hai kis liye
baitheen hain hum jahaan se apna uthaaye dil

kahte hain dardmand tarqqi ka haal dekh
ya rab kabhi kisi pe kisi ka na aaye dil

गर एक शब भी वस्ल की लज़्ज़त न पाए दिल
फिर किस उमीद पर कोई तुम से लगाए दिल

इक दिल तुझे मुदाम सताने को चाहिए
तेरे लिए कहाँ से कोई रोज़ लाए दिल

उतरा न आ के याँ कोई जुज़ कारवान-ए-ग़म
मेहमाँ-सरा से कम नहीं यारो सरा-ए-दिल

कूचे से अपने हम को उठाता है किस लिए
बैठें हैं हम जहान से अपना उठाए दिल

कहते हैं दर्दमंद 'तरक़्क़ी' का हाल देख
या रब कभी किसी पे किसी का न आए दिल

- Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi

As you were reading Shayari by Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi

Similar Writers

our suggestion based on Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari