duniya ke jo maze hain hargiz vo kam na honge | दुनिया के जो मज़े हैं हरगिज़ वो कम न होंगे - Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi

duniya ke jo maze hain hargiz vo kam na honge
charche yahi rahenge afsos hum na honge

aaghaaz-e-ishq hi mein shikwa buton ka ai dil
dukh sabr abhi to kya kya sitam na honge

bulbul ke dard-e-dil ko mumkin nahin mudaava
gulchein ke haath dono jab tak qalam na honge

yaad-e-guzishtagaa par kya royen ab tarqqi
kya hum ravana soo-e-mulk-e-adam na honge

दुनिया के जो मज़े हैं हरगिज़ वो कम न होंगे
चर्चे यही रहेंगे अफ़्सोस हम न होंगे

आग़ाज़-ए-इश्क़ ही में शिकवा बुतों का ऐ दिल
दुख सब्र अभी तो क्या क्या सितम न होंगे

बुलबुल के दर्द-ए-दिल को मुमकिन नहीं मुदावा
गुलचीं के हाथ दोनों जब तक क़लम न होंगे

याद-ए-गुज़िश्तगाँ पर क्या रोएँ अब 'तरक़्क़ी'
क्या हम रवाना सू-ए-मुल्क-ए-अदम न होंगे

- Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
0 Likes

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi

As you were reading Shayari by Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi

Similar Writers

our suggestion based on Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari