jab se ik chaand ki chaahat mein sitaara hua hoon | जब से इक चाँद की चाहत में सितारा हुआ हूँ

  - Ahmad Fareed

jab se ik chaand ki chaahat mein sitaara hua hoon
shehr-e-shab-zaad ki aankhon ka sahaara hua hoon

ai mere dard ke dariya ki rawaani mujhe dekh
main tire qurb se kat kat ke kinaara hua hoon

zindagi tujh sa munaafiq bhi koi kya hoga
tera shehkaar hoon aur tera hi maara hua hoon

bujh gaye jab mere sab khwaab o charaagh o mahtaab
shehr-e-zulmat ko main tab ja ke gawara hua hoon

saamne phir mere apne hain so main jaanta hoon
jeet bhi jaaun to ye jang main haara hua hoon

zakham ginata hoon shab-e-hijr mein aur sochta hoon
main to apna bhi na tha kaise tumhaara hua hoon

main payambar hoon na ho saka hoon phir bhi ahmad
aisa lagta hai sar-e-khaak utaara hua hoon

जब से इक चाँद की चाहत में सितारा हुआ हूँ
शहर-ए-शब-ज़ाद की आँखों का सहारा हुआ हूँ

ऐ मिरे दर्द के दरिया की रवानी मुझे देख
मैं तिरे क़ुर्ब से कट कट के किनारा हुआ हूँ

ज़िंदगी! तुझ सा मुनाफ़िक़ भी कोई क्या होगा
तेरा शहकार हूँ और तेरा ही मारा हुआ हूँ

बुझ गए जब मिरे सब ख़्वाब ओ चराग़ ओ महताब
शहर-ए-ज़ुल्मत को मैं तब जा के गवारा हुआ हूँ

सामने फिर मिरे अपने हैं सो मैं जानता हूँ
जीत भी जाऊँ तो ये जंग मैं हारा हुआ हूँ

ज़ख़्म गिनता हूँ शब-ए-हिज्र में और सोचता हूँ
मैं तो अपना भी न था कैसे तुम्हारा हुआ हूँ

मैं पयम्बर हूँ न हो सकता हूँ फिर भी 'अहमद'
ऐसा लगता है सर-ए-ख़ाक उतारा हुआ हूँ

  - Ahmad Fareed

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fareed

As you were reading Shayari by Ahmad Fareed

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fareed

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari