parda-e-mehmil uthe to raaz-e-veeraana khule | पर्दा-ए-महमिल उठे तो राज़-ए-वीराना खुले

  - Ahmad Fareed

parda-e-mehmil uthe to raaz-e-veeraana khule
raaz-e-veeraana khule tab ja ke deewaana khule

baar-e-haft-aflaak bhi is na-tawan shaane pe hai
zulf se kehna ki aahista sar-e-shaana khule

qaamat-e-parwaana qadd-e-shama se kam hai abhi
keemiya ho le zara to qadd-e-parwaana khule

jab tilism-e-aaina khud ho naqaab-e-aaina
chashm par kaise hijaab-e-aaina-khaana khule

is qadar may us ke paimaane mein aati jaayegi
jis qadar bhi jis pe tah-daari-e-paimaana khule

aajizi o ustuwaari masti o waarftagi
kis pe ab juz-shama betaabi-e-parwaana khule

sab pe khulne ki hamein hi aarzoo shaayad na thi
ek do honge ki ham jin par faqeeraana khule

पर्दा-ए-महमिल उठे तो राज़-ए-वीराना खुले
राज़-ए-वीराना खुले तब जा के दीवाना खुले

बार-ए-हफ़्त-अफ़्लाक भी इस ना-तवाँ शाने पे है
ज़ुल्फ़ से कहना कि आहिस्ता सर-ए-शाना खुले

क़ामत-ए-परवाना क़द्द-ए-शम्अ से कम है अभी
कीमिया हो ले ज़रा तो क़द्द-ए-परवाना खुले

जब तिलिस्म-ए-आईना ख़ुद हो नक़ाब-ए-आईना
चश्म पर कैसे हिजाब-ए-आईना-ख़ाना खुले

इस क़दर मय उस के पैमाने में आती जाएगी
जिस क़दर भी जिस पे तह-दारी-ए-पैमाना खुले

आजिज़ी ओ उस्तुवारी मस्ती ओ वारफ़्तगी
किस पे अब जुज़-शम्अ बेताबी-ए-परवाना खुले

सब पे खुलने की हमें ही आरज़ू शायद न थी
एक दो होंगे कि हम जिन पर फ़क़ीराना खुले

  - Ahmad Fareed

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fareed

As you were reading Shayari by Ahmad Fareed

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fareed

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari