din se bichhdi hui baaraat liye phirti hai
chaand taaron ko kahaan raat liye phirti hai
ye kahi us ke mazaalim ka mudaava hi na ho
ye jo patton ko hawa saath liye phirti hai
chalte chalte hi sahi baat to kar li jaaye
ham ko duniya mein yahi baat liye phirti hai
lamha lamha tiri furqat mein pighalti hui umr
garmi-e-shauq-e-mulaqaat liye phirti hai
warna ham shehr-e-gul-aazaar mein kab aate the
ye to ham ko bhari-barsaat liye phirti hai
jis taraf se main guzarta bhi nahin tha pehle
ab wahin gardish-e-haalat liye phirti hai
दिन से बिछड़ी हुई बारात लिए फिरती है
चाँद तारों को कहाँ रात लिए फिरती है
ये कहीं उस के मज़ालिम का मुदावा ही न हो
ये जो पत्तों को हवा साथ लिए फिरती है
चलते चलते ही सही बात तो कर ली जाए
हम को दुनिया में यही बात लिए फिरती है
लम्हा लम्हा तिरी फ़ुर्क़त में पिघलती हुई उम्र
गर्मी-ए-शौक़-ए-मुलाक़ात लिए फिरती है
वर्ना हम शहर-ए-गुल-आज़ार में कब आते थे
ये तो हम को भरी-बरसात लिए फिरती है
जिस तरफ़ से मैं गुज़रता भी नहीं था पहले
अब वहीं गर्दिश-ए-हालात लिए फिरती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Fareed
our suggestion based on Ahmad Fareed
As you were reading Relationship Shayari Shayari