kya roz-e-hashr doon tujhe ai daad-gar jawaab | क्या रोज़-ए-हश्र दूँ तुझे ऐ दाद-गर जवाब - Ahmad Husain Mail

kya roz-e-hashr doon tujhe ai daad-gar jawaab
aamaal-naame ka to hai peshaani par jawaab

ruk ruk ke hans ke yun hi to de fitna-gar jawaab
deta hai aur lutf mujhe tera har jawaab

kis se misaal doon tiri zulf-e-daraaz ko
umr-e-taveel-e-khizr hai ik mukhtasar jawaab

mushkil ke waqt dil hi se kuch mashwara karein
kyun den kisi ko gair se hum pooch kar jawaab

karte hain sajda naqsh-e-qadam ko tamaam log
hai khaana-e-khuda ka tiri raahguzaar jawaab

munkir-nakeer poochte hain daant daant kar
hon muntashir hawas to kya de bashar jawaab

khuld-o-saqr ke beech mein hai koi ishq-e-yaar
hai pul-siraat ka ye meri raahguzaar jawaab

kyun sar jhuka raha hai zara aankh to mila
degi mere sawaal ka teri nazar jawaab

gusse mein yun na aao ki gussa haraam hai
tum baat hi se baat ka do soch kar jawaab

zarroon ki tarah khaak mein hain aashiqon ke dil
gar tu kare sawaal to de raahguzaar jawaab

main ne kiya salaam to chilman mein chhup gaye
dar-parda degi ab nigah-e-parda-dar jawaab

hangaama hashr ka sift-e-gard rah gaya
tere khiraam ka na hua fitna-gar jawaab

kya apne bhole-pan se kahein dam mein aaye ho
har baat ka jo dete ho ab soch kar jawaab

kya hoga khaak ho ke sar-e-charkh jaayega
ye zer-e-paa sawaal vo baala-e-sar jawaab

likkha hai mujh ko ho gaya tera lahu safed
main bhi likhoonga khoon se sar phod kar jawaab

behosh kar ke poochte ho dil ka muddaa
deta bhi hai huzoor kahi be-khabar jawaab

gusse se kuch kahoon to vo kis tarah chup rahe
ik baat ka jo shaam se de ta-sehr jawaab

chitwan se taar jaate hain maail ka muddaa
dil mein idhar sawaal hai lab par udhar jawaab

क्या रोज़-ए-हश्र दूँ तुझे ऐ दाद-गर जवाब
आमाल-नामे का तो है पेशानी पर जवाब

रुक रुक के हँस के यूँ ही तो दे फ़ित्ना-गर जवाब
देता है और लुत्फ़ मुझे तेरा हर जवाब

किस से मिसाल दूँ तिरी ज़ुल्फ़-ए-दराज़ को
उम्र-ए-तवील-ए-ख़िज़्र है इक मुख़्तसर जवाब

मुश्किल के वक़्त दिल ही से कुछ मशवरा करें
क्यूँ दें किसी को ग़ैर से हम पूछ कर जवाब

करते हैं सज्दा नक़्श-ए-क़दम को तमाम लोग
है ख़ाना-ए-ख़ुदा का तिरी रहगुज़र जवाब

मुनकिर-नकीर पूछते हैं डाँट डाँट कर
हों मुंतशिर हवास तो क्या दे बशर जवाब

ख़ुल्द-ओ-सक़र के बीच में है कोई इश्क़-ए-यार
है पुल-सिरात का ये मिरी रहगुज़र जवाब

क्यूँ सर झुका रहा है ज़रा आँख तो मिला
देगी मिरे सवाल का तेरी नज़र जवाब

ग़ुस्से में यूँ न आओ कि ग़ुस्सा हराम है
तुम बात ही से बात का दो सोच कर जवाब

ज़र्रों की तरह ख़ाक में हैं आशिक़ों के दिल
गर तू करे सवाल तो दे रहगुज़र जवाब

मैं ने किया सलाम तो चिलमन में छुप गए
दर-पर्दा देगी अब निगह-ए-पर्दा-दर जवाब

हंगामा हश्र का सिफ़त-ए-गर्द रह गया
तेरे ख़िराम का न हुआ फ़ित्ना-गर जवाब

क्या अपने भोले-पन से कहें दम में आए हो
हर बात का जो देते हो अब सोच कर जवाब

क्या होगा ख़ाक हो के सर-ए-चर्ख़ जाएगा
ये ज़ेर-ए-पा सवाल वो बाला-ए-सर जवाब

लिक्खा है मुझ को हो गया तेरा लहू सफ़ेद
मैं भी लिखूँगा ख़ून से सर फोड़ कर जवाब

बेहोश कर के पूछते हो दिल का मुद्दआ'
देता भी है हुज़ूर कहीं बे-ख़बर जवाब

ग़ुस्से से कुछ कहूँ तो वो किस तरह चुप रहे
इक बात का जो शाम से दे ता-सहर जवाब

चितवन से ताड़ जाते हैं 'माइल' का मुद्दआ'
दिल में इधर सवाल है लब पर उधर जवाब

- Ahmad Husain Mail
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Husain Mail

As you were reading Shayari by Ahmad Husain Mail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Husain Mail

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari