kyun shauq badh gaya ramzaan mein singaar ka | क्यूँ शौक़ बढ़ गया रमज़ाँ में सिंगार का - Ahmad Husain Mail

kyun shauq badh gaya ramzaan mein singaar ka
roza na toot jaaye kisi roza-daar ka

un ka vo shokhiyon se fadakna palang par
vo chaatiyon pe lotna phoolon ke haar ka

hoor aaye khuld se to bithaaun kahaan use
aaraasta ho ek to kona mazaar ka

sheeshon ne tarz udaai rukoo o qayaam ki
kya in mein hai lahu kisi parhez-gaar ka

kyun ghash hue kaleem tajallii-e-toor par
vo ik charaagh tha mere dal ke mazaar ka

ba'd-e-fana bhi saaf nahin dil raqeeb se
gumbad khada hua hai lahd par ghubaar ka

kasrat ka rang shaahid-e-wahdat ka hai banaav
vo ek hi se naam hai hazda hazaar ka

naaqoos bin ke poochne jaaun agar mizaaj
but bhi kaheinge shukr hai parwardigaar ka

dulha ki ye baraat hai rasmen ada karo
dar par janaaza aaya hai ik jaan-nisaar ka

kya kya tadap tadap ke sarafiil gir pade
dam aa gaya jo soor mein mujh be-qaraar ka

surma ke saath phail ke kya vo bhi mit gaya
kyun naam tak nahin tiri aankhon mein pyaar ka

kya raat se kisi ki nazar lag gai ise
achha nahin mizaaj dil-e-be-qaraar ka

aankhen meri faqeer hui shauq-e-deed mein
tasma kamar mein hai nigah-e-intizaar ka

lootuun maze jo baazi-e-shatranj jeet luun
is khel mein to wa'da hai bos-e-kinaar ka

allah mera ghafoor mohammad mere shafee
maail ko khauf kuch nahin roz-e-shumaar ka

क्यूँ शौक़ बढ़ गया रमज़ाँ में सिंगार का
रोज़ा न टूट जाए किसी रोज़ा-दार का

उन का वो शोख़ियों से फड़कना पलंग पर
वो छातियों पे लोटना फूलों के हार का

हूर आए ख़ुल्द से तो बिठाऊँ कहाँ उसे
आरास्ता हो एक तो कोना मज़ार का

शीशों ने तर्ज़ उड़ाई रुकू ओ क़याम की
क्या इन में है लहू किसी परहेज़-गार का

क्यूँ ग़श हुए कलीम तजल्ली-ए-तूर पर
वो इक चराग़ था मिरे दल के मज़ार का

बअ'द-ए-फ़ना भी साफ़ नहीं दिल रक़ीब से
गुम्बद खड़ा हुआ है लहद पर ग़ुबार का

कसरत का रंग शाहिद-ए-वहदत का है बनाव
वो एक ही से नाम है हज़दा हज़ार का

नाक़ूस बिन के पूछने जाऊँ अगर मिज़ाज
बुत भी कहेंगे शुक्र है पर्वरदिगार का

दूल्हा की ये बरात है रस्में अदा करो
दर पर जनाज़ा आया है इक जाँ-निसार का

क्या क्या तड़प तड़प के सराफ़ील गिर पड़े
दम आ गया जो सूर में मुझ बे-क़रार का

सुर्मा के साथ फैल के क्या वो भी मिट गया
क्यूँ नाम तक नहीं तिरी आँखों में प्यार का

क्या रात से किसी की नज़र लग गई इसे
अच्छा नहीं मिज़ाज दिल-ए-बे-क़रार का

आँखें मिरी फ़क़ीर हुईं शौक़-ए-दीद में
तस्मा कमर में है निगह-ए-इंतिज़ार का

लूटूँ मज़े जो बाज़ी-ए-शतरंज जीत लूँ
इस खेल में तो वा'दा है बोस-ए-कनार का

अल्लाह मिरा ग़फ़ूर मोहम्मद मिरे शफ़ीअ'
'माइल' को ख़ौफ़ कुछ नहीं रोज़-ए-शुमार का

- Ahmad Husain Mail
0 Likes

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Husain Mail

As you were reading Shayari by Ahmad Husain Mail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Husain Mail

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari