zamzama naala-e-bulbul thehre | ज़मज़मा नाला-ए-बुलबुल ठहरे - Ahmad Husain Mail

zamzama naala-e-bulbul thehre
main jo fariyaad karoon ghul thehre

naghma-e-kun ke karishme dekho
kahi qum qum kahi qulqul thehre

jaal mein kaatib-e-aamaal fanse
dosh par aa ke jo kaakul thehre

raat din rahti hai gardish un ko
chaand suraj qadah-e-mul thehre

mera kehna tira sunna maaloom
jumbish-e-lab hi agar gul thehre

jaan kar bhi vo na jaanen mujh ko
aarifana hi tajaahul thehre

aashiqi mein ye tanazzul kaisa
aap hum kyun gul-o-bulbul thehre

tujh pe khul jaaye jo raaz-e-hama-oost
falsafi door o tasalsul thehre

aankh se aankh mein paighaam aaye
gar nigaahon ka tavassul thehre

khul gai be-hamgi ba-hamgi
kul main jab mahav hue kul thehre

dil se dil baat kare aankh se aankh
aashiqi ka jo tavassul thehre

kyun na firdaus mein jaaye maail
jab mohammad ka tavassul thehre

ज़मज़मा नाला-ए-बुलबुल ठहरे
मैं जो फ़रियाद करूँ ग़ुल ठहरे

नग़्मा-ए-कुन के करिश्मे देखो
कहीं क़ुम क़ुम कहीं क़ुलक़ुल ठहरे

जाल में कातिब-ए-आमाल फँसें
दोश पर आ के जो काकुल ठहरे

रात दिन रहती है गर्दिश उन को
चाँद सूरज क़दह-ए-मुल ठहरे

मेरा कहना तिरा सुनना मालूम
जुम्बिश-ए-लब ही अगर गुल ठहरे

जान कर भी वो न जानें मुझ को
आरिफ़ाना ही तजाहुल ठहरे

आशिक़ी में ये तनज़्ज़ुल कैसा
आप हम क्यूँ गुल-ओ-बुलबुल ठहरे

तुझ पे खुल जाए जो राज़-ए-हमा-ऊस्त
फ़लसफ़ी दूर ओ तसलसुल ठहरे

आँख से आँख में पैग़ाम आए
गर निगाहों का तवस्सुल ठहरे

खुल गई बे-हमगी बा-हमगी
कुल मैं जब महव हुए कुल ठहरे

दिल से दिल बात करे आँख से आँख
आशिक़ी का जो तवस्सुल ठहरे

क्यूँ न फ़िरदौस में जाए 'माइल'
जब मोहम्मद का तवस्सुल ठहरे

- Ahmad Husain Mail
0 Likes

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Husain Mail

As you were reading Shayari by Ahmad Husain Mail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Husain Mail

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari