aftaab aaye chamak kar jo sar-e-jaam-e-sharaab
rind samjhen ki hai saadiq sehar-e-jaam-e-sharaab
sab ke haathon pe tha shab-bhar safar-e-jaam-e-sharaab
har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jaam-e-sharaab
dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah
sham-e-mahfil ho ye lakhth-e-jigar-e-jaam-e-sharaab
thaam le dast-e-suboo aaye jo chalne mein lachak
khat-e-bagdaad ho moo-e-kamar-e-jaam-e-sharaab
toor-e-seena ka gumaan ho khum-e-may par sab ko
is tarah hosh udaao asar-e-jaam-e-sharaab
saagar-e-may mein nahin partav-e-khaal-e-saaqi
hai kaf-e-dukhtar-e-raz mein sipar-e-jaam-e-sharaab
khaak may-khaane ki ban jaati qayamat pis kar
har qadam par jo lachakti kamar-e-jaam-e-sharaab
aaj may-noshon ka majma hai kahaan ai saaqi
kaun si bazm mein hai shor-o-shar-e-jaam-e-sharaab
jitne may-khwaar hain saaqi se gale milte hain
sehar-e-eid bani hai khabar-e-jaam-e-sharaab
sheesha-e-may se uda kaag kabootar ki tarah
naama pahunchaane chala nama-bar-e-jaam-e-sharaab
mauj-e-sehba pe gira sapna-e-meena ud kar
hai mere saamne tegh-o-sipar-e-jaam-e-sharaab
may pilaata hai agar dhanp le seena saaqi
tere joban ko lagegi nazar-e-jaam-e-sharaab
aftaab aa ke sikhaata hai chalan shab-bhar ka
raat ko hota hai akshar guzar-e-jaam-e-sharaab
dast-e-saaqi mein rahe dast-e-qadh-kash mein rahe
gardan-e-sheesha-e-sehba kamar-e-jaam-e-sharaab
mast karte hain do-aalam ko yahi do khud-mast
lazzat-e-naghma-e-mutrib asar-e-jaam-e-sharaab
kya gazab hai ki tira hont na chuse maail
aur ho tere labon tak guzar-e-jaam-e-sharaab
आफ़्ताब आए चमक कर जो सर-ए-जाम-ए-शराब
रिंद समझें कि है सादिक़ सहर-ए-जाम-ए-शराब
सब के हाथों पे था शब-भर सफ़र-ए-जाम-ए-शराब
हर ख़त-ए-दस्त बना रह-गुज़र-ए-जाम-ए-शराब
दुख़्तर-ए-रज़ पे गिरें मस्त पतंगों की तरह
शम-ए-महफ़िल हो ये लख़्त-ए-जिगर-ए-जाम-ए-शराब
थाम ले दस्त-ए-सुबू आए जो चलने में लचक
ख़त-ए-बग़दाद हो मू-ए-कमर-ए-जाम-ए-शराब
तूर-ए-सीना का गुमाँ हो ख़ुम-ए-मय पर सब को
इस तरह होश उड़ाओ असर-ए-जाम-ए-शराब
साग़र-ए-मय में नहीं परतव-ए-ख़ाल-ए-साक़ी
है कफ़-ए-दुख़्तर-ए-रज़ में सिपर-ए-जाम-ए-शराब
ख़ाक मय-ख़ाने की बन जाती क़यामत पिस कर
हर क़दम पर जो लचकती कमर-ए-जाम-ए-शराब
आज मय-नोशों का मजमा' है कहाँ ऐ साक़ी
कौन सी बज़्म में है शोर-ओ-शर-ए-जाम-ए-शराब
जितने मय-ख़्वार हैं साक़ी से गले मिलते हैं
सहर-ए-ईद बनी है ख़बर-ए-जाम-ए-शराब
शीशा-ए-मय से उड़ा काग कबूतर की तरह
नामा पहुँचाने चला नामा-बर-ए-जाम-ए-शराब
मौज-ए-सहबा पे गिरा सपना-ए-मीना उड़ कर
है मिरे सामने तेग़-ओ-सिपर-ए-जाम-ए-शराब
मय पिलाता है अगर ढाँप ले सीना साक़ी
तेरे जोबन को लगेगी नज़र-ए-जाम-ए-शराब
आफ़्ताब आ के सिखाता है चलन शब-भर का
रात को होता है अक्सर गुज़र-ए-जाम-ए-शराब
दस्त-ए-साक़ी में रहे दस्त-ए-क़दह-कश में रहे
गर्दन-ए-शीशा-ए-सहबा कमर-ए-जाम-ए-शराब
मस्त करते हैं दो-आलम को यही दो ख़ुद-मस्त
लज़्ज़त-ए-नग़मा-ए-मुतरिब असर-ए-जाम-ए-शराब
क्या ग़ज़ब है कि तिरा होंठ न चूसे 'माइल'
और हो तेरे लबों तक गुज़र-ए-जाम-ए-शराब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Husain Mail
our suggestion based on Ahmad Husain Mail
As you were reading Raat Shayari Shayari