pyaar apne pe jo aata hai to kya karte hain | प्यार अपने पे जो आता है तो क्या करते हैं

  - Ahmad Husain Mail

pyaar apne pe jo aata hai to kya karte hain
aaina dekh ke munh choom liya karte hain

vasl ka lutf mujhe vasl se pehle hi mila
jab kaha yaar ne ghabra ke ye kya karte hain

is qadar tha mujhe ulfat mein bharosa un par
ki jafaa bhi to ye samjha ki wafa karte hain

hai yahi arz khuda se ki fulan but mil jaaye
wahi achhe jo namaazon mein dua karte hain

lab kisi ke jo hile kaan udhar dhyaan udhar
dil laga kar vo mera zikr suna karte hain

subah ko dekh ke aaine mein bose ka nishaan
muskuraate hue honton mein gila karte hain

kaise kaise mujhe be-saakhta milte hain khitaab
gussa aata hai to kya kya vo kaha karte hain

kya hua mujh ko raqeebon ne agar di tazeem
teri mehfil mein to fitne hi utha karte hain

kaan baaton ki taraf aankh hai kaamon ki taraf
ho ke anjaan mera zikr suna karte hain

cheen peshaani pe hai mauj-e-tabassum lab mein
aise hansmukh hain ki gusse mein hansa karte hain

bas to chalta nahin kuchh kah ke unhen kyun hon zaleel
ham to apna hi lahu aap piya karte hain

is ishaare ke fida aise tajaahul ke nisaar
maar kar aankh vo munh fer liya karte hain

jalse hi jalse hain jab se vo hue khud-mukhtaar
koi itna nahin kehta ki ye kya karte hain

aashiqana hai aqeeda bhi hamaara maail
le ke ham naam-e-butaan zikr-e-khuda karte hain

प्यार अपने पे जो आता है तो क्या करते हैं
आईना देख के मुँह चूम लिया करते हैं

वस्ल का लुत्फ़ मुझे वस्ल से पहले ही मिला
जब कहा यार ने घबरा के ये क्या करते हैं

इस क़दर था मुझे उल्फ़त में भरोसा उन पर
की जफ़ा भी तो ये समझा कि वफ़ा करते हैं

है यही अर्ज़ ख़ुदा से कि फुलाँ बुत मिल जाए
वही अच्छे जो नमाज़ों में दुआ करते हैं

लब किसी के जो हिले कान उधर ध्यान उधर
दिल लगा कर वो मिरा ज़िक्र सुना करते हैं

सुबह को देख के आईने में बोसे का निशाँ
मुस्कुराते हुए होंटों में गिला करते हैं

कैसे कैसे मुझे बे-साख़्ता मिलते हैं ख़िताब
ग़ुस्सा आता है तो क्या क्या वो कहा करते हैं

क्या हुआ मुझ को रक़ीबों ने अगर दी ताज़ीम
तेरी महफ़िल में तो फ़ित्ने ही उठा करते हैं

कान बातों की तरफ़ आँख है कामों की तरफ़
हो के अंजान मिरा ज़िक्र सुना करते हैं

चीन पेशानी पे है मौज-ए-तबस्सुम लब में
ऐसे हँसमुख हैं कि ग़ुस्से में हँसा करते हैं

बस तो चलता नहीं कुछ कह के उन्हें क्यूँ हों ज़लील
हम तो अपना ही लहू आप पिया करते हैं

इस इशारे के फ़िदा ऐसे तजाहुल के निसार
मार कर आँख वो मुँह फेर लिया करते हैं

जलसे ही जलसे हैं जब से वो हुए ख़ुद-मुख़्तार
कोई इतना नहीं कहता कि ये क्या करते हैं

आशिक़ाना है अक़ीदा भी हमारा 'माइल'
ले के हम नाम-ए-बुताँ ज़िक्र-ए-ख़ुदा करते हैं

  - Ahmad Husain Mail

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Husain Mail

As you were reading Shayari by Ahmad Husain Mail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Husain Mail

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari