vo paara hoon main jo aag mein hoon vo barq hoon jo sahaab mein hoon | वो पारा हूँ मैं जो आग में हूँ वो बर्क़ हूँ जो सहाब में हूँ - Ahmad Husain Mail

vo paara hoon main jo aag mein hoon vo barq hoon jo sahaab mein hoon
zameen pe bhi iztiraab mein hoon falak pe bhi iztiraab mein hoon

na main hawa mein na khaak mein hoon na aag mein hoon na aab mein hoon
shumaar mera nahin kisi mein agarche main bhi hisaab mein hoon

agarche paani ki mauj ban kar hamesha main pech-o-taab mein hoon
wahi hoon qatra wahi hoon dariya jo ain chashm-e-habaab mein hoon

sulaaya kis ne gale laga kar ki soor bhi thak gaya jaga kar
bapaa hai aalam mein shor-e-mahshar mujhe jo dekho to khwaab mein hoon

maza hai saaqi tire karam se zuhoor mera hai tere dam se
vo baada hoon jo hoon may-kade mein vo nashsha hoon jo sharaab mein hoon

ilaahi vo gore gore talve kahi na ho jaayen mujh se maile
ki khaak ban kar b-rang-e-surma hamesha chashm-e-rikaab mein hoon

jo bhes apna badal ke aaya to rang-e-itlaaq munh se dhoya
kiya hai paani mein qaid mujh ko hawa ki soorat habaab mein hoon

gazab hai josh-e-zuhoor tera pukaarta hai ye noor tera
khuda ne andha kiya hai jis ko usi ke aage hijaab mein hoon

hui hai dono ki ek haalat na chain us ko na chain mujh ko
udhar vo hai mahav shokhiyon mein idhar jo main iztiraab mein hoon

ilaahi mujh par karam ho tera na khol aamaal-naama mera
pukaarta hai ye khatt-e-qismat ki main bhi fard-e-hisaab mein hoon

dimaagh mein hoon qadah-kashon ke dehan mein aaya hoon mah-vasho_n ke
nasha vo hoon jo sharaab mein hoon maza vo hoon jo kebab mein hoon

vo apna chehra agar dikhaaye yaqeen andhon ko khaak aaye
pukaarti hai ye be-hijaabi ki main azal se hijaab mein hoon

alahda kar ke khud se mujh ko jo tu ne baksha to khaak baksha
agarche jannat mujhe mili hai ilaahi phir bhi azaab mein hoon

hujoom nazaron ka hai vo munh par diya hai dono ko jis ne dhoka
yaqeen ye mujh ko pada hai parda gumaan ye un ko naqaab mein hoon

jo mujh ko us se juda karoge to mera nuksaan kya karoge
nahin hoon maanind-e-sifr kuch bhi agarche main bhi hisaab mein hoon

na aaya mar kar bhi chain mujh ko utha meri khaak se bagoola
buton ka gesu to main nahin hoon ilaahi kyun pech-o-taab mein hoon

jo haal poocho to ik kahaani nishaan poocho to be-nishaani
vo zarra hoon jo mita hua hoon agarche main aftaab mein hoon

mita agarche mazaar mera chhuta na vo shehsawaar mera
pukaarta hai ghubaar mera ki main bhi haazir rikaab mein hoon

karam ki maail pe bhi nazar ho nazar mein phir chulbula asar ho
azal se ummeed-waar main bhi ilaahi teri janab mein hoon

वो पारा हूँ मैं जो आग में हूँ वो बर्क़ हूँ जो सहाब में हूँ
ज़मीं पे भी इज़्तिराब में हूँ फ़लक पे भी इज़्तिराब में हूँ

न मैं हवा में न ख़ाक में हूँ न आग में हूँ न आब में हूँ
शुमार मेरा नहीं किसी में अगरचे मैं भी हिसाब में हूँ

अगरचे पानी की मौज बन कर हमेशा मैं पेच-ओ-ताब में हूँ
वही हूँ क़तरा वही हूँ दरिया जो ऐन चश्म-ए-हबाब में हूँ

सुलाया किस ने गले लगा कर कि सूर भी थक गया जगा कर
बपा है आलम में शोर-ए-महशर मुझे जो देखो तो ख़्वाब में हूँ

मज़ा है साक़ी तिरे करम से ज़ुहूर मेरा है तेरे दम से
वो बादा हूँ जो हूँ मय-कदे में वो नश्शा हूँ जो शराब में हूँ

इलाही वो गोरे गोरे तलवे कहीं न हो जाएँ मुझ से मैले
कि ख़ाक बन कर ब-रंग-ए-सुर्मा हमेशा चश्म-ए-रिकाब में हूँ

जो भेस अपना बदल के आया तो रंग-ए-इतलाक़ मुँह से धोया
किया है पानी में क़ैद मुझ को हवा की सूरत हबाब में हूँ

ग़ज़ब है जोश-ए-ज़ुहूर तेरा पुकारता है ये नूर तेरा
ख़ुदा ने अंधा किया है जिस को उसी के आगे हिजाब में हूँ

हुई है दोनों की एक हालत न चैन उस को न चैन मुझ को
उधर वो है महव शोख़ियों में इधर जो मैं इज़्तिराब में हूँ

इलाही मुझ पर करम हो तेरा न खोल आमाल-नामा मेरा
पुकारता है ये ख़त्त-ए-क़िस्मत कि मैं भी फ़र्द-ए-हिसाब में हूँ

दिमाग़ में हूँ क़दह-कशों के दहन में आया हूँ मह-वशों के
नशा वो हूँ जो शराब में हूँ मज़ा वो हूँ जो कबाब में हूँ

वो अपना चेहरा अगर दिखाए यक़ीन अंधों को ख़ाक आए
पुकारती है ये बे-हिजाबी कि मैं अज़ल से हिजाब में हूँ

अलाहदा कर के ख़ुद से मुझ को जो तू ने बख़्शा तो ख़ाक बख़्शा
अगरचे जन्नत मुझे मिली है इलाही फिर भी अज़ाब में हूँ

हुजूम नज़रों का है वो मुँह पर दिया है दोनो को जिस ने धोका
यक़ीं ये मुझ को पड़ा है पर्दा गुमाँ ये उन को नक़ाब में हूँ

जो मुझ को उस से जुदा करोगे तो मेरा नुक़सान क्या करोगे
नहीं हूँ मानिंद-ए-सिफ़्र कुछ भी अगरचे मैं भी हिसाब में हूँ

न आया मर कर भी चैन मुझ को उठा मिरी ख़ाक से बगूला
बुतों का गेसू तो मैं नहीं हूँ इलाही क्यूँ पेच-ओ-ताब में हूँ

जो हाल पूछो तो इक कहानी निशान पूछो तो बे-निशानी
वो ज़र्रा हूँ जो मिटा हुआ हूँ अगरचे मैं आफ़्ताब में हूँ

मिटा अगरचे मज़ार मेरा छुटा न वो शहसवार मेरा
पुकारता है ग़ुबार मेरा कि मैं भी हाज़िर रिकाब में हूँ

करम की 'माइल' पे भी नज़र हो नज़र में फिर चुलबुला असर हो
अज़ल से उम्मीद-वार मैं भी इलाही तेरी जनाब में हूँ

- Ahmad Husain Mail
0 Likes

Nasha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Husain Mail

As you were reading Shayari by Ahmad Husain Mail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Husain Mail

Similar Moods

As you were reading Nasha Shayari Shayari