mahshar mein chalte chalte karunga ada namaaz | महशर में चलते चलते करूँगा अदा नमाज़

  - Ahmad Husain Mail

mahshar mein chalte chalte karunga ada namaaz
padh loonga pul-siraat pe maail qaza namaaz

sar jaaye umr bhar ki ho yaarab ada namaaz
aaye meri qaza to padhoon main qaza namaaz

maangi najaat hijr se to maut aa gai
rozay gale pade jo chhudaane gaya namaaz

dekho ki fans na jaayen farishte bhi jaal mein
kyun padh rahe ho khol ke zulf-e-rasa namaaz

har ik sutoon khaana-e-shar-e-shareef hai
roza ho ya zakaat ho ya haj ho ya namaaz

ye kyun khameeda hai sifat-e-saahib-e-ruku
kya padh rahi hai dosh pe zulf-e-dota namaaz

niyyat jo baandh li to chala main huzoor mein
rahbar meri namaaz meri rehnuma namaaz

saaqi qayaam se ye jo aaya rukua mein
sheesha khuda ke khauf se padhta hai kya namaaz

uth uth ke baith baith ke karta hai kyun ghuroor
zaahid kahi badhaaye na teri riya namaaz

arkaan yaad hain mujhe ai daawar-e-jazaa
gar hukm ho to saamne padh luun qaza namaaz

shaitaan ban gaya hai farishta ghuroor se
kya faaeda hua jo padhi jaa-b-jaa namaaz

le jaate hain mujhe soo-e-dozakh kashaan kashaan
rozay mere idhar hain udhar hai qaza namaaz

haqq-ul-yaqeen ka naam urooj-e-maqaam hai
padhte hain auliya sar-e-dosh-e-hawaa namaaz

masjid mein paanch waqt dua vo bhi vasl ki
maail buton ke vaaste padhte ho kya namaaz

महशर में चलते चलते करूँगा अदा नमाज़
पढ़ लूंगा पुल-सिरात पे 'माइल' क़ज़ा नमाज़

सर जाए उम्र भर की हो यारब अदा नमाज़
आए मिरी क़ज़ा तो पढ़ूँ मैं क़ज़ा नमाज़

माँगी नजात हिज्र से तो मौत आ गई
रोज़े गले पड़े जो छुड़ाने गया नमाज़

देखो कि फँस न जाएँ फ़रिश्ते भी जाल में
क्यूँ पढ़ रहे हो खोल के ज़ुल्फ़-ए-रसा नमाज़

हर इक सुतून ख़ाना-ए-शर-ए-शरीफ़ है
रोज़ा हो या ज़कात हो या हज हो या नमाज़

ये क्यूँ ख़मीदा है सिफ़त-ए-साहब-ए-रुकू
क्या पढ़ रही है दोश पे ज़ुल्फ़-ए-दोता नमाज़

निय्यत जो बाँध ली तो चला मैं हुज़ूर में
रहबर मिरी नमाज़ मिरी रहनुमा नमाज़

साक़ी क़याम से ये जो आया रूकूअ' में
शीशा ख़ुदा के ख़ौफ़ से पढ़ता है क्या नमाज़

उठ उठ के बैठ बैठ के करता है क्यूँ ग़ुरूर
ज़ाहिद कहीं बढ़ाए न तेरी रिया नमाज़

अरकान याद हैं मुझे ऐ दावर-ए-जज़ा
गर हुक्म हो तो सामने पढ़ लूँ क़ज़ा नमाज़

शैतान बन गया है फ़रिश्ता ग़ुरूर से
क्या फ़ाएदा हुआ जो पढ़ी जा-ब-जा नमाज़

ले जाते हैं मुझे सू-ए-दोज़ख़ कशाँ कशाँ
रोज़े मिरे इधर हैं उधर है क़ज़ा नमाज़

हक़्क़-उल-यक़ीं का नाम उरूज-ए-मक़ाम है
पढ़ते हैं औलिया सर-ए-दोश-ए-हवा नमाज़

मस्जिद में पाँच वक़्त दुआ वो भी वस्ल की
'माइल' बुतों के वास्ते पढ़ते हो क्या नमाज़

  - Ahmad Husain Mail

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Husain Mail

As you were reading Shayari by Ahmad Husain Mail

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Husain Mail

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari