hum din ke payaami hain magar kushta-e-shab hain | हम दिन के पयामी हैं मगर कुश्ता-ए-शब हैं - Ahmad Nadeem Qasmi

hum din ke payaami hain magar kushta-e-shab hain
is haal mein bhi raunaq-e-aalam ka sabab hain

zaahir mein hum insaan hain mitti ke khilone
baatin mein magar tund anaasir ka gazab hain

hain halka-e-zanjeer ka hum khanda-e-jaawed
zindaan mein basaaye hue ik shehr-e-tarab hain

chatki hui ye husn-e-gurezaan ki kali hai
ya shiddat-e-jazbaat se khulte hue lab hain

aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho hum parda-e-shab hain

हम दिन के पयामी हैं मगर कुश्ता-ए-शब हैं
इस हाल में भी रौनक़-ए-आलम का सबब हैं

ज़ाहिर में हम इंसान हैं मिट्टी के खिलौने
बातिन में मगर तुंद अनासिर का ग़ज़ब हैं

हैं हल्क़ा-ए-ज़ंजीर का हम ख़ंदा-ए-जावेद
ज़िंदाँ में बसाए हुए इक शहर-ए-तरब हैं

चटकी हुई ये हुस्न-ए-गुरेज़ाँ की कली है
या शिद्दत-ए-जज़्बात से खुलते हुए लब हैं

आग़ोश में महकोगे दिखाई नहीं दोगे
तुम निकहत-ए-गुलज़ार हो हम पर्दा-ए-शब हैं

- Ahmad Nadeem Qasmi
0 Likes

Bachpan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Bachpan Shayari Shayari