waqt ka kya hai mere yaar badal jaata hai | वक़्त का क्या है मिरे यार बदल जाता है - Ahmad Tariq

waqt ka kya hai mere yaar badal jaata hai
aag lagti hai to bazaar badal jaata hai

hum darakhton ke to fal bhi nahin badle ab tak
in parindon ka to ghar-baar badal jaata hai

khwaab har baar sadaaein diye rah jaate hain
ik iraada hai ki har baar badal jaata hai

raat bhar vasl-e-musalsal mein magan rehta hoon
aankh khulti hai to kirdaar badal jaata hai

maan leta hoon tujhe mujh se mohabbat hogi
par mohabbat mein adakaar badal jaata hai

bein karte hue ahmad ko ye ma'aloom nahin
bein se ranj ka mea'ar badal jaata hai

वक़्त का क्या है मिरे यार बदल जाता है
आग लगती है तो बाज़ार बदल जाता है

हम दरख़्तों के तो फल भी नहीं बदले अब तक
इन परिंदों का तो घर-बार बदल जाता है

ख़्वाब हर बार सदाएँ दिए रह जाते हैं
इक इरादा है कि हर बार बदल जाता है

रात भर वस्ल-ए-मुसलसल में मगन रहता हूँ
आँख खुलती है तो किरदार बदल जाता है

मान लेता हूँ तुझे मुझ से मोहब्बत होगी
पर मोहब्बत में अदाकार बदल जाता है

बैन करते हुए 'अहमद' को ये मा'लूम नहीं
बैन से रंज का मेआ'र बदल जाता है

- Ahmad Tariq
0 Likes

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Tariq

As you were reading Shayari by Ahmad Tariq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Tariq

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari