vo mujhe mo'tabar na dekh saka | वो मुझे मो'तबर न देख सका

  - Ahmad Tariq

vo mujhe mo'tabar na dekh saka
aur phir umr bhar na dekh saka

is ko manzil to dik gai fauran
par vo daur-e-safar na dekh saka

kya bataaun sitam-zareef ka haal
vo mujhe ik nazar na dekh saka

tujh ko kaise dikhaai deta main
tu mujhe is qadar na dekh saka

vo mujhe baar baar udaata raha
aur mere khasta par na dekh saka

mere maalik ne bhar diya qaasa
vo mujhe dar-b-dar na dekh saka

sab ke sab dekhte rahe tasveer
koi deewaar par na dekh saka

tu bhi dekh aa ke haalat-e-'ahmad
aur iqaar kar na dekh saka

वो मुझे मो'तबर न देख सका
और फिर उम्र भर न देख सका

इस को मंज़िल तो दिख गई फ़ौरन
पर वो दाैर-ए-सफ़र न देख सका

क्या बताऊँ सितम-ज़रीफ़ का हाल
वो मुझे इक नज़र न देख सका

तुझ को कैसे दिखाई देता मैं
तू मुझे इस क़दर न देख सका

वो मुझे बार बार उड़ाता रहा
और मिरे ख़स्ता पर न देख सका

मेरे मालिक ने भर दिया कासा
वो मुझे दर-ब-दर न देख सका

सब के सब देखते रहे तस्वीर
कोई दीवार पर न देख सका

तू भी देख आ के हालत-ए-'अहमद'
और इक़रार कर न देख सका

  - Ahmad Tariq

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Tariq

As you were reading Shayari by Ahmad Tariq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Tariq

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari