vasl ka beej bo nahin paaya
raat zinda tha so nahin paaya
faani duniya ke is musaafir ne
vo bhi khoya hai jo nahin paaya
meri aankhon mein khwaab baste hain
zindagi bhar main ro nahin paaya
raqs karta hoon main udaasi mein
main ne mehboob ko nahin paaya
us ne mujh se kaha milo ahmad
aur mujh se ye ho nahin paaya
वस्ल का बीज बो नहीं पाया
रात ज़िंदा था सो नहीं पाया
फ़ानी दुनिया के इस मुसाफ़िर ने
वो भी खोया है जो नहीं पाया
मेरी आँखों में ख़्वाब बस्ते हैं
ज़िंदगी भर मैं रो नहीं पाया
रक़्स करता हूँ मैं उदासी में
मैं ने महबूब को नहीं पाया
उस ने मुझ से कहा मिलो 'अहमद'
और मुझ से ये हो नहीं पाया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Tariq
our suggestion based on Ahmad Tariq
As you were reading Raqs Shayari Shayari