darkaar tha qaraar bulaana pada use
awaaz di to laut ke aana pada use
main kaun hoon kahaan se hoon aur kis ka pyaar hoon
bhoola hua tha mujh ko bataana pada use
jaate hue sabhi se milaaya tha us ne haath
aur sab mein main bhi tha so milaana pada use
meri sabhi duaon ka mehwar wahi to tha
na chahte hue bhi bhulaana pada use
ahmad use bataata raha hijr maut hai
maana nahin to mar ke dikhaana pada use
दरकार था क़रार बुलाना पड़ा उसे
आवाज़ दी तो लौट के आना पड़ा उसे
मैं कौन हूँ कहाँ से हूँ और किस का प्यार हूँ
भूला हुआ था मुझ को बताना पड़ा उसे
जाते हुए सभी से मिलाया था उस ने हाथ
और सब में मैं भी था सो मिलाना पड़ा उसे
मेरी सभी दुआओं का मेहवर वही तो था
ना चाहते हुए भी भुलाना पड़ा उसे
'अहमद' उसे बताता रहा हिज्र मौत है
माना नहीं तो मर के दिखाना पड़ा उसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Tariq
our suggestion based on Ahmad Tariq
As you were reading Death Shayari Shayari