aarzi raahaton ke qaail hain
log aasaishon ke qaail hain
main samajhta tha aap ko apna
aap to saikdon ke qaail hain
yaar to aib hi talashe'nge
aap kyun khaamiyon ke qaail hain
kaafi mushkil hai aap tak pahunche
ranj bas sha'iron ke qaail hain
tum ko hairat nahin hui ahmad
talkh kaante gulon ke qaail hain
आरज़ी राहतों के क़ाइल हैं
लोग आसाइशों के क़ाइल हैं
मैं समझता था आप को अपना
आप तो सैंकड़ों के क़ाइल हैं
यार तो ऐब ही तलाशेंगे
आप क्यों ख़ामियों के क़ाइल हैं
काफ़ी मुश्किल है आप तक पहुँचें
रंज बस शाइ'रों के क़ाइल हैं
तुम को हैरत नहीं हुई 'अहमद'
तल्ख़ काँटे गुलों के क़ाइल हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Tariq
our suggestion based on Ahmad Tariq
As you were reading Dost Shayari Shayari