meri afsurdagi se lutf uthaane waale | मेरी अफ़्सुर्दगी से लुत्फ़ उठाने वाले - Ahmad Tariq

meri afsurdagi se lutf uthaane waale
kitne zalim hain ye sab log zamaane waale

log hanste hain udaasi mein tadpata hoon jab
ek to dard hai oopar se sataane waale

pyaar apni jagah par ek shikaayat hai mujhe
tum ne aane mein bahut der ki aane waale

main kabhi paas chala jaata tha rone ke liye
aur kabhi zehan mein aa jaate rulaane waale

ik taraf ranj bulaata hai musalsal mujh ko
doosri aur mujhe ranj bulane waale

markaz-e-karb ka ahmad jo chhide zikr kahi
jaane kyun tera bataate hain bataane waale

मेरी अफ़्सुर्दगी से लुत्फ़ उठाने वाले
कितने ज़ालिम हैं ये सब लोग ज़माने वाले

लोग हँसते हैं उदासी में तड़पता हूँ जब
एक तो दर्द है ऊपर से सताने वाले

प्यार अपनी जगह पर एक शिकायत है मुझे
तुम ने आने में बहुत देर की आने वाले

मैं कभी पास चला जाता था रोने के लिए
और कभी ज़ेहन में आ जाते रुलाने वाले

इक तरफ़ रंज बुलाता है मुसलसल मुझ को
दूसरी और मुझे रंज बुलाने वाले

मरकज़-ए-कर्ब का 'अहमद' जो छिड़े ज़िक्र कहीं
जाने क्यों तेरा बताते हैं बताने वाले

- Ahmad Tariq
0 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Tariq

As you were reading Shayari by Ahmad Tariq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Tariq

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari