ik nazar karke idhar raat karne waala tha
vo khusoosi shakhs jab baat karne waala tha
vo udhar taiyyaar thi tark ae ulfat ke liye
aur idhar mai shaadi ki baat karne waala tha
thi bahut usko galatfehamiyaan lekar mujhe
sang mai jiske door shubahaat karne waala tha
us khuda ne tujhko leke mera sab le liya
mai ibadat jiski din raat karne waala tha
usne us din chhodaa tha mujhko ke jis roz mai
maa se uske liye baat karne waala tha
khud pe vehshat maine kuchh itni taari karli thi
dekhkar saamit bhi aswaat karne waala tha
usne ik ladke se us waqt milwaayaa mujhe
mai bayaan jab ehsaasaat karne waala tha
khush tha usse milne ko par mujhe maaloom tha
aakhiri baari mulaqaat karne waala tha
jaane kyun ab lag raha hai mohabbat se mujhe
tha koi jo mujhko mohtaath karne waala tha
ja chuka tha varna hain ye ghazal kiske liye
faiz se vo ye savaalaat karne waala tha
इक नज़र करके इधर रात करने वाला था
वो ख़ुसूसी शख़्स जब बात करने वाला था
वो उधर तय्यार थी तर्क ए उल्फ़त के लिए
और इधर मै शादी की बात करने वाला था
थी बहुत उसको ग़लतफ़हमियां लेकर मुझे
संग मै जिसके दूर शुबहात करने वाला था
उस ख़ुदा ने तुझको लेके मिरा सब ले लिया
मै इबादत जिसकी दिन रात करने वाला था
उसने उस दिन छोड़ा था मुझको के जिस रोज़ मै
माँ से उसके लिए बात करने वाला था
ख़ुद पे वहशत मैंने कुछ इतनी तारी करली थी
देखकर सामित भी अस्वात करने वाला था
उसने इक लड़के से उस वक़्त मिलवाया मुझे
मै बयाँ जब एहसासात करने वाला था
ख़ुश था उससे मिलने को पर मुझे मालूम था
आख़िरी बारी मुलाक़ात करने वाला था
जाने क्यूँ अब लग रहा है मोहब्बत से मुझे
था कोई जो मुझको मोहतात करने वाला था
जा चुका था वरना हैं ये ग़ज़ल किसके लिए
'फ़ैज़' से वो ये सवालात करने वाला था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading Mehndi Shayari Shayari