raat-din is tarah guzarte hain | रात-दिन इस तरह गुज़रते हैं - Ain Salam

raat-din is tarah guzarte hain
hum na jeete hain aur na marte hain

log hairaan hon is zamaane mein
kaise hans hans ke zeest karte hain

koi ja kar khizaan se kah aaye
phool gulshan mein phir nikhrate hain

aap ko dekh kar ye sochta hoon
aasmaan se bhi log utarte hain

gham ke haathon bigad gaye hum to
vo bhi honge ki jo sanvarte hain

rashk se naam tak nahin lete
dam magar aap hi ka bharte hain

रात-दिन इस तरह गुज़रते हैं
हम न जीते हैं और न मरते हैं

लोग हैराँ हों इस ज़माने में
कैसे हँस हँस के ज़ीस्त करते हैं

कोई जा कर ख़िज़ाँ से कह आए
फूल गुलशन में फिर निखरते हैं

आप को देख कर ये सोचता हूँ
आसमाँ से भी लोग उतरते हैं

ग़म के हाथों बिगड़ गए हम तो
वो भी होंगे कि जो सँवरते हैं

रश्क से नाम तक नहीं लेते
दम मगर आप ही का भरते हैं

- Ain Salam
0 Likes

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Salam

As you were reading Shayari by Ain Salam

Similar Writers

our suggestion based on Ain Salam

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari