vo nazar hai suraagh mein dil ke
phool mahke hain daagh mein dil ke
hasraton ki na pooch kaifiyyat
khoon-e-dil hai ayaagh mein dil ke
jal bujhi ek ek aas magar
gul hai raushan-charaagh mein dil ke
vo jo aaye to aaye subh-e-bahaar
ghup andhera hai baagh mein dil ke
phir usi gul-badan ki yaad aayi
phir mahak si hai daagh mein dil ke
yun jhalakta hai pyaar un aankhon mein
chaand jaise ayaagh mein dil ke
वो नज़र है सुराग़ में दिल के
फूल महके हैं दाग़ में दिल के
हसरतों की न पूछ कैफ़िय्यत
ख़ून-ए-दिल है अयाग़ में दिल के
जल बुझी एक एक आस मगर
गुल है रौशन-चराग़ में दिल के
वो जो आए तो आए सुब्ह-ए-बहार
घुप अँधेरा है बाग़ में दिल के
फिर उसी गुल-बदन की याद आई
फिर महक सी है दाग़ में दिल के
यूँ झलकता है प्यार उन आँखों में
चाँद जैसे अयाग़ में दिल के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ain Salam
our suggestion based on Ain Salam
As you were reading Nigaah Shayari Shayari