kitna hushiyaar hua kitna vo farzaana hua | कितना हुशियार हुआ कितना वो फ़रज़ाना हुआ - Ain Salam

kitna hushiyaar hua kitna vo farzaana hua
teri masti-bhari aankhon ka jo deewaana hua

aah ye aalam-e-ghurbat ye shab-e-tanhaai
ik qayamat hui dhyaan aise mein tera na hua

ik jahaan aaj bhi hai us ke tilismon mein aseer
sab ka ho kar bhi jo ayyaar kisi ka na hua

tujh ko apnaane ka yaara tha na khone hi ka zarf
dil-e-hairaan isee uljhaave mein deewaana hua

kaifiyat us ki judaai ki na poocho yaaro
dil tahee ho ke bhi chhalaka hua paimaana hua

haaye vo lutf-o-karam us ke sitam se pehle
kar ke begaana zamaane se jo begaana hua

roz-e-mahshar na banaya shab-e-gham ko hum ne
zikr tera hi bas afsaana dar afsaana hua

karb raahat hai kabhi aur kabhi raahat karb
ik muamma ye mizaaj-e-dil-e-deewana hua

ek mehsoos qaraabat ki vo khushbu-e-badan
jis ko choone ka tasavvur mein bhi yaaraana hua

kaifiyat dard-e-tamanna ki wahi hai ki jo thi
tera izhaar-e-wafa bhi dam-e-eesa na hua

jaane kis jaan-e-bahaaraan ki lagan hai ki salaam
dil sa maamooraa-e-wehshat kabhi sehra na hua

कितना हुशियार हुआ कितना वो फ़रज़ाना हुआ
तेरी मस्ती-भरी आँखों का जो दीवाना हुआ

आह ये आलम-ए-ग़ुर्बत ये शब-ए-तन्हाई
इक क़यामत हुई ध्यान ऐसे में तेरा न हुआ

इक जहाँ आज भी है उस के तिलिस्मों में असीर
सब का हो कर भी जो अय्यार किसी का न हुआ

तुझ को अपनाने का यारा था न खोने ही का ज़र्फ़
दिल-ए-हैराँ इसी उलझावे में दीवाना हुआ

कैफ़ियत उस की जुदाई की न पूछो यारो
दिल तही हो के भी छलका हुआ पैमाना हुआ

हाए वो लुत्फ़-ओ-करम उस के सितम से पहले
कर के बेगाना ज़माने से जो बेगाना हुआ

रोज़-ए-महशर न बनाया शब-ए-ग़म को हम ने
ज़िक्र तेरा ही बस अफ़्साना दर अफ़्साना हुआ

कर्ब राहत है कभी और कभी राहत कर्ब
इक मुअम्मा ये मिज़ाज-ए-दिल-ए-दीवाना हुआ

एक महसूस क़राबत की वो ख़ुशबू-ए-बदन
जिस को छूने का तसव्वुर में भी याराना हुआ

कैफ़ियत दर्द-ए-तमन्ना की वही है कि जो थी
तेरा इज़हार-ए-वफ़ा भी दम-ए-ईसा न हुआ

जाने किस जान-ए-बहाराँ की लगन है कि 'सलाम'
दिल सा मामूरा-ए-वहशत कभी सहरा न हुआ

- Ain Salam
0 Likes

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Salam

As you were reading Shayari by Ain Salam

Similar Writers

our suggestion based on Ain Salam

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari