ham se rukhsaar vo lab bhool gaye
zindagi karne ka dhab bhool gaye
raat-din mahav raha karte the
jaane kya thi vo talab bhool gaye
aa gaya sar pe dhalt suraj
raat ke shor-o-shaghab bhool gaye
ranj-e-mahroomi-e-dil yaad raha
ronaq-e-bazm-e-tarab bhool gaye
naqsh-e-deewaar bane baithe hain
yaad itna hai ki sab bhool gaye
zindagi bigdi to aisi bigdi
jo bhi the ranj-o-tab bhool gaye
dil mein kya kya na the armaan salaam
shukr sad shukr ki sab bhool gaye
हम से रुख़्सार वो लब भूल गए
ज़िंदगी करने का ढब भूल गए
रात-दिन महव रहा करते थे
जाने क्या थी वो तलब भूल गए
आ गया सर पे ढलता सूरज
रात के शोर-ओ-शग़ब भूल गए
रंज-ए-महरूमी-ए-दिल याद रहा
रौनक़-ए-बज़्म-ए-तरब भूल गए
नक़्श-ए-दीवार बने बैठे हैं
याद इतना है कि सब भूल गए
ज़िंदगी बिगड़ी तो ऐसी बिगड़ी
जो भी थे रंज-ओ-तअब भूल गए
दिल में क्या क्या न थे अरमान 'सलाम'
शुक्र सद शुक्र कि सब भूल गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ain Salam
our suggestion based on Ain Salam
As you were reading Neend Shayari Shayari