aarzooon ke dhadakte shehar jal kar rah gaye | आरज़ूओं के धड़कते शहर जल कर रह गए - Ain Salam

aarzooon ke dhadakte shehar jal kar rah gaye
kaise kaise hashr khaamoshi mein dhal kar rah gaye

khaatir-e-khasta ka ab koi nahin pursaan-e-haal
kitne dildaari ke unwaan the badal kar rah gaye

ab kahaan ahad-e-wafaa ki paasdaari ab kahaan
jo haqaaiq the vo afsaano mein dhal kar rah gaye

ab kahaan vo sahilon se sair-e-toofan-e-hayaat
ab to vo saahil talaatum mein badal kar rah gaye

haasil-e-gham ya gham-e-haasil mayassar kuch nahin
zindagaani ke sabhi asbaab jal kar rah gaye

haaye vo gham jo bayaan ki had mein aa sakte na the
qaid-e-ashk-o-aah se aage nikal kar rah gaye

al-amaan haalaat ki mahshar-khiraami al-amaan
dagmagaaye is qadar goya sambhal kar rah gaye

rah gaya hoon ek main tanhaa hujoom-e-barq mein
ham-nava saare chaman ke saath jal kar rah gaye

ban to sakte the vo toofan-e-qayaamat-khez bhi
jo dhadakte valvale ashkon mein dhal kar rah gaye

ek vo hain daalte hain maah-o-anjum par kamand
aur ik hum hain ki khwaabon se bahl kar rah gaye

jin ko haasil tha zamaane mein sukoon-e-iztiraab
apne hi ehsaas ke sholoon mein jal kar rah gaye

jin ki khaamoshi thi mashhoor-e-zamaana ai salaam
aaj un ke munh se bhi shikwe nikal kar rah gaye

आरज़ूओं के धड़कते शहर जल कर रह गए
कैसे कैसे हश्र ख़ामोशी में ढल कर रह गए

ख़ातिर-ए-ख़स्ता का अब कोई नहीं पुर्सान-ए-हाल
कितने दिलदारी के उन्वान थे बदल कर रह गए

अब कहाँ अहद-ए-वफ़ा की पासदारी अब कहाँ
जो हक़ाएक़ थे वो अफ़्सानों में ढल कर रह गए

अब कहाँ वो साहिलों से सैर-ए-तूफ़ान-ए-हयात
अब तो वो साहिल तलातुम में बदल कर रह गए

हासिल-ए-ग़म या ग़म-ए-हासिल मयस्सर कुछ नहीं
ज़िंदगानी के सभी अस्बाब जल कर रह गए

हाए वो ग़म जो बयाँ की हद में आ सकते न थे
क़ैद-ए-अश्क-ओ-आह से आगे निकल कर रह गए

अल-अमाँ हालात की महशर-ख़िरामी अल-अमाँ
डगमगाए इस क़दर गोया सँभल कर रह गए

रह गया हूँ एक मैं तन्हा हुजूम-ए-बर्क़ में
हम-नवा सारे चमन के साथ जल कर रह गए

बन तो सकते थे वो तूफ़ान-ए-क़यामत-ख़ेज़ भी
जो धड़कते वलवले अश्कों में ढल कर रह गए

एक वो हैं डालते हैं माह-ओ-अंजुम पर कमंद
और इक हम हैं कि ख़्वाबों से बहल कर रह गए

जिन को हासिल था ज़माने में सुकून-ए-इज़्तिराब
अपने ही एहसास के शो'लों में जल कर रह गए

जिन की ख़ामोशी थी मशहूर-ए-ज़माना ऐ 'सलाम'
आज उन के मुँह से भी शिकवे निकल कर रह गए

- Ain Salam
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Salam

As you were reading Shayari by Ain Salam

Similar Writers

our suggestion based on Ain Salam

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari