kabhi toota na afsoon-e-sitam teri huzoori ka | कभी टूटा न अफ़्सून-ए-सितम तेरी हुज़ूरी का - Ain Salam

kabhi toota na afsoon-e-sitam teri huzoori ka
bahut nazdeek rah kar bhi raha ehsaas-e-doori ka

kahaan tak saath degi dekhen apni be-niyaazi bhi
khumaar-e-tishnagi khamyaza hai dasht-e-suboori ka

hazaaron aftaabon ke lahu se tamtamaata hai
bharam ik muskuraate chehra-e-zebaa ki noori ka

huzoor irshaad apna meri aankhon mein basa deeje
ki phir shaaki na ho koi bayaan manzar se doori ka

ye mehroomi to apni bebaasi hi ki mukaafi hai
sila kuch aur hona chahiye tha na-suboori ka

mohabbat khud-faramoshi se guzri ab ye aalam hai
ki ik aalam tamaashaai hai apni be-shuoori ka

कभी टूटा न अफ़्सून-ए-सितम तेरी हुज़ूरी का
बहुत नज़दीक रह कर भी रहा एहसास-ए-दूरी का

कहाँ तक साथ देगी देखें अपनी बे-नियाज़ी भी
ख़ुमार-ए-तिश्नगी ख़म्याज़ा है दश्त-ए-सुबूरी का

हज़ारों आफ़्ताबों के लहू से तमतमाता है
भरम इक मुस्कुराते चेहरा-ए-ज़ेबा की नूरी का

हुज़ूर इरशाद अपना मेरी आँखों में बसा दीजे
कि फिर शाकी न हो कोई बयाँ मंज़र से दूरी का

ये महरूमी तो अपनी बेबसी ही की मुकाफ़ी है
सिला कुछ और होना चाहिए था ना-सुबूरी का

मोहब्बत ख़ुद-फ़रामोशी से गुज़री अब ये आलम है
कि इक आलम तमाशाई है अपनी बे-शुऊरी का

- Ain Salam
0 Likes

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Salam

As you were reading Shayari by Ain Salam

Similar Writers

our suggestion based on Ain Salam

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari