bigaad mein bhi banaao hai aadmi ke liye | बिगाड़ में भी बनाओ है आदमी के लिए - Ain Salam

bigaad mein bhi banaao hai aadmi ke liye
ujad raha hoon main ik taaza zindagi ke liye

badal gaye hain zamaane ke saath husn ke taur
kuch aur chahte ab rasm-e-aashiqi ke liye

ye soch kar ki inaayat kiya hua hai tira
dua na maangi kabhi dard mein kami ke liye

mulaahiza ho ye eesaar-e-phool hans hans kar
ujad raha hai kali ki shaguftagi ke liye

gumaan tak mein na theen jibraeel ke jo kabhi
vo rifaten hain yaqeen aaj aadmi ke liye

pila ke zahar hi be-gaana-e-do-aalam ko
taras gaya hoon main thodi si be-khudi ke liye

kuch aur tegh-e-wafa zahar mein bujaaye ja
yahi hai aab-e-hayaat aaj zindagi ke liye

बिगाड़ में भी बनाओ है आदमी के लिए
उजड़ रहा हूँ मैं इक ताज़ा ज़िंदगी के लिए

बदल गए हैं ज़माने के साथ हुस्न के तौर
कुछ और चाहते अब रस्म-ए-आशिक़ी के लिए

ये सोच कर कि इनायत किया हुआ है तिरा
दुआ न माँगी कभी दर्द में कमी के लिए

मुलाहिज़ा हो ये ईसार-ए-फूल हँस हँस कर
उजड़ रहा है कली की शगुफ़्तगी के लिए

गुमान तक में न थीं जिब्रईल के जो कभी
वो रिफ़अतें हैं यक़ीन आज आदमी के लिए

पिला के ज़हर ही बे-गाना-ए-दो-आलम को
तरस गया हूँ मैं थोड़ी सी बे-ख़ुदी के लिए

कुछ और तेग़-ए-वफ़ा ज़हर में बुझाए जा
यही है आब-ए-हयात आज ज़िंदगी के लिए

- Ain Salam
0 Likes

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Salam

As you were reading Shayari by Ain Salam

Similar Writers

our suggestion based on Ain Salam

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari