jalta raha vo umr-bhar apni hi aag mein | जलता रहा वो उम्र-भर अपनी ही आग में

  - Ain Salam

jalta raha vo umr-bhar apni hi aag mein
tere labon ki aanch na thi jis ke bhag mein

chhoti si baat thi magar ik rog ban gai
raahat milaap hi mein rahi hai na tyaag mein

kaise kahoon use ye dulhan hai bahaar ki
phoolon ka khun mahakta hai jis ke suhaag mein

vo husn ban ke gul ki tapish mein samaa gaya
hans hans ke jal gaya jo tire gham ki aag mein

kehne ko mera saaz hai lekin kise khabar
kis kis ki dhun samaai hai ek ek raag mein

ik daagh ban ke dil mein sulagta hai ai salaam
vo phool jis ka lams nahin apne bhag mein

जलता रहा वो उम्र-भर अपनी ही आग में
तेरे लबों की आँच न थी जिस के भाग में

छोटी सी बात थी मगर इक रोग बन गई
राहत मिलाप ही में रही है न त्याग में

कैसे कहूँ उसे ये दुल्हन है बहार की
फूलों का ख़ूँ महकता है जिस के सुहाग में

वो हुस्न बन के गुल की तपिश में समा गया
हँस हँस के जल गया जो तिरे ग़म की आग में

कहने को मेरा साज़ है लेकिन किसे ख़बर
किस किस की धुन समाई है एक एक राग में

इक दाग़ बन के दिल में सुलगता है ऐ 'सलाम'
वो फूल जिस का लम्स नहीं अपने भाग में

  - Ain Salam

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Salam

As you were reading Shayari by Ain Salam

Similar Writers

our suggestion based on Ain Salam

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari