dil-e-majrooh jab bhi ik nayi karvat badalta hai | दिल-ए-मजरूह जब भी इक नई करवट बदलता है - Ain Salam

dil-e-majrooh jab bhi ik nayi karvat badalta hai
gul-e-har-zakhm se hansta hua nashtar nikalta hai

hua hai aur na hoga sard dasht-e-jaur gulchein se
sharaar-e-dil jo mauj-e-rang-o-boo ban kar uchhalta hai

yahan kuch kam nahin deewaangi se hosh ka da'wa
udhar seena-sipar hoon main jidhar se teer chalta hai

main vo khaamosh basti hoon umeedon ke samundar mein
ki jis ki khaamoshi ki tah mein ik toofaan palta hai

muqaddar ke likhe par mutmain hone ko ho jaaun
magar ye dard rah rah kar jo pahluu mein machalta hai

salaam ik din pahunch hi jaayenge un ke bhi daaman tak
ye sholay jin ki garmi se mera ang ang jalta hai

दिल-ए-मजरूह जब भी इक नई करवट बदलता है
गुल-ए-हर-ज़ख़्म से हँसता हुआ नश्तर निकलता है

हुआ है और न होगा सर्द दस्त-ए-जौर गुलचीं से
शरार-ए-दिल जो मौज-ए-रंग-ओ-बू बन कर उछलता है

यहाँ कुछ कम नहीं दीवानगी से होश का दा'वा
उधर सीना-सिपर हूँ मैं जिधर से तीर चलता है

मैं वो ख़ामोश बस्ती हूँ उमीदों के समुंदर में
कि जिस की ख़ामुशी की तह में इक तूफ़ान पलता है

मुक़द्दर के लिखे पर मुतमइन होने को हो जाऊँ
मगर ये दर्द रह रह कर जो पहलू में मचलता है

'सलाम' इक दिन पहुँच ही जाएँगे उन के भी दामन तक
ये शो'ले जिन की गर्मी से मिरा अंग अंग जलता है

- Ain Salam
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Salam

As you were reading Shayari by Ain Salam

Similar Writers

our suggestion based on Ain Salam

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari